Qabre Zahra Dhoop Main Hai

Qabre zahra dhoop main hai door tak saya nahi
Qye musalmano ye tum ne aaj tak socha nahi

Jiska baba tajdare ambiya shahe zaman
Uska roza munhadim hai hai jo khatune jina
Ye sitam tumne madine jaake kya dekha nahi

Fatima wo maa hai jiske 11 bete hain imam
Aur laqab umme abiha dukhtare khairul anaam
Zalimo ne fatima ka martaba samjha nahi

Chor ke insaniyat ke aur shariat ke usool
Dha diya hai zalimo ne rozaye binte rsaool
Wo mitaya jisse badh ke koi sarmaya nahi

Jiska saya bhi farishton ne nahi dekha kabhi
Hai lahad be saya uski har taraf hai teergi
Kalma goyo zulm ye tumko nazar aya nahi

Wo jo bibi fatima ka ghar jalane aaye the
Jisne dhaya rozaye zahra hain unki nasl se
Hain ye dahshat gard ab ye baat poshida nahi

Pasliyan tuti hui hain dil pa hai mohsin ka gham
Qabr me bechain hai binte shahanshahe umam
Mustafa ke baad zahra ne sukoon paya nahi

Rozaye zahra hua jab munhadim tum chup rahe
Roye hum zahra ki mazloomi pa dil ko tham ke
Aik aansu bhi tumhare aankh se nikla nahi

Lab pa hai mahdi hasan mazhar raza ke ye dua
Rozaye zahra ki ho taameer aye ahle aza
Har taraf hain mushkile aasan koi rasta nahi



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link