Meri Maa

Aaj ki ye daastaan
Sari maao ke naam
Jinhone zindgi bhar aapko nisankoch pyar kiya

Meri maa Mera bhavishya hy Jo mujhko wo sudharti
Soch ko akaar de vichar se mahan bhee
Janm dene wali bhee aur pyar ka bhandar bhee
Ghr pe baat Jo uthi to kaali ka avtaar bhee

Har namune bachho ke liye wo vardaan si
Teachero se bach gya to ghr me ha-hakaar bhee
Pdhne ke hi naam pe bus mumma humko marti
Fir bhee unka ladla hu beta Mai sararti

Din dooba raat hui, Mai to abhi soya nhi
Kitne hi rato se na, Jane Mai to roya yhi
Phle jo sath hoti, hr dum meri maa
Laga ke gale se tujhe, din ki shurvaat hoti

Aakhe khuli jo plang se samne hy meri ma
Rote rote jo utha hasane ko hy meri maa
Bukhe pet mai nhi khilane ko hy meri maa
Hr mushabito me Delhi sath hi hy meri maa

Dekho meri maa ne apna farz ye nibhaya hy
Paal posh ke bada kiya mujhe bnaya h
Ek se sau ki ginti bhee unhone hi sikhayi hai
Lga lga ke daat mujhe pdhna sikhaya hy

Din dooba rat hui, Mai to abhi soya nhi
Kitne hi rato se na, Jane Mai to roya yhi
Phle jo sath hoti, hr dum meri maa
Lga ke gle se tujhe, din ki shurvaat hoti

Aaj kl chhut gya pyar ye parivaar se
Ban gaye hy Seath ab pyar vaipaar se
Na bhed bhao kiya, usne pala tujhe pyar se
Kis bat ki tu de unhe, saza ye Javab de

Wo chahe Mera beta mere pas rahe
har lamho me mere sath rhe
Kaamyaab bhot hoga Teri zindgi me dost
Kaamyaabi jinse mili Unse pyaar kare

Ek baar kre yad tu un lamho ko
Jisne tujhe aaj jina sikhaya
Bukhe pet tu, so bhee gya
Maa ne utha ke tujhe khana khilaya

Aaj bade hoke bete, kaamyaab ho gye
Naam beshumaar, dhanvaan ho gye
Aaj foreign ki yatra,tu kr aaya bete
Sanskaar lekin teri, whi kho gye

Zindgi me aap kitne bhee kaamiyaab jao mere dost
Agr parivar aapke sath nhi
To smjho zindgi me wo baat nhi



Credits
Writer(s): Himanshu Sarwa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link