Jab Se Ankhen Ho Gai Tumse Char

Jab se aankhen ho gayi tum se chaar is dharti par

Qadam-qadam par machal raha hai pyaar is dharti par

Jab-jab dekhoon rup tumhaaraa, yaad vatan kee aaye

Jaise mira iktaare pe geet shyaam ke gae

Amar pyaar ke chhede tum ne taar is dharti par
Amar pyaar ke chhede tum ne taar is dharti par
Jab se aankhen ho gayi tum se chaar is dharti par

Laharaa kar tum in banhon mein aa jaatee ho aise

Bahtee-bahtee nadiya saagar se mil jae jaise

Kahaan se aayi ye ganga kee dhar is dharti par?
Kahaan se aayi ye ganga kee dhar is dharti par?
Jab se aankhen ho gayi tum se chaar is dharti par

Jhuki-jhuki ye lambee palken, ye zulfon kee chhaanv

Basaa hua hai is chhaanv mein rang-rup ka gaanv

Ban jaao ab mere gale ka haar is dharti par
Ban jaao ab mere gale ka haar is dharti par
Jab se aankhen ho gayi tum se chaar is dharti par
Qadam-qadam par machal raha hai pyaar is dharti par

Credits
Writer(s): Rajinder Krishan, Jaikshan Shankar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link