Main Kaun Hun

Ek naam hai jisse khud ko hun janta
Ek shaqs aaiene mein mujhko pehchanta
Har kisi ki rai mein meri kahani ek nayi
Waqt dar waqt ye badalti fitratein meri
Phir bhi kyun na jane aisa lage kabhi
Jaisa mera insee vasta nahi
Hai jo bheetar sans le raha abhi,mera vajood kya main vahi

Ye mere roop kitne, ye mere dhang kitne
Banate hain ye mujhe ya inhe banaya maine
Main kaun hun, jise main keh sakun
Khud se waqif toh hun jawab mere pass phir na kyun

Har subah ek nayi magar aadat wohi
Zehen mein koi baat uthi aur maine amal ki
Soch ke maya jaal mein banke katputli
Kiye jaa raha hun main karva raha koi
Ye khushiyon ko hasil karne ki chah mein phir raha
Toh kisi gham se peecha chuda raha
Jo dar se saamna hua toh aankhen mund liya
Hain ye bahar ya andar kahin

Kya mere karmon se meri pehchan hai
Ya koi hai mujhmein jo inse anjaan hai
Lafzon ke dayare tak kya meri shaqseeyat hai
Ya samaj k pare meri koi haqeeqat hai

Main kaun hun jise main keh sakun
Khud se waqif toh hun jawab mere pass phir na kyun
Ye mere roop kitne, ye mere dhang kitne
Banate hain ye mujhe ya inhe banaya maine



Credits
Writer(s): Shreyas Bhartiya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link