Basie's Basement

Raaton ke andheron mein jab
Khamoshi galyon mein ghoomay
Sayay bhi tum se kuch keh dein gay

Rahon ke kaanton pe chal ke
Dur andheron se nikal ke
Rang sab apnay badal ke...

Aa ga'ay ho phir yahan
Ho gayay ho aashna
Roshni ke des mein
Tum bhi dekho gay kayee jalway!

Dhoondo ge sitaray to zamana tumhey dekhay ga
Aa ke tumharee yeh zindagee se khelay ga
Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge
Tum so na pao ge, doob jao ge!
Likho jo naee daastan
Mitain gay Nahi phir nishaan!

Bhoolay se bhi woh na jaagain
Sayay se apnay woh bhagain
Jal Nahi paein gay phir diyay!

Dur anjaani iss dagar pe
Ek andheri rahguzar pe
Aas ki kirnon se dar ke...
Chal diyay ho tum kahan?
Dhoondtay kiss kay nishaan?
Shor ke bazaar mein
Hosh na ayay kabhi phir tumhein!

Dhoondo ge sitaray to zamana tumhey dekhay ga
Aa ke tumharee yeh zindagee se khelay ga
Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge
Tum so na pao ge, doob jao ge!
Bhula do yeh saara jahaan
Likho ek naee daastan
Mitain gay Nahi phir nishaan!

Aa sang hamaray chal re
Aa buss yahi ek pal re
Meray saayay mein tu chal,
Apni dunya se nikal,
Aa sab ko chor ke chal re...

Dhoonda hai sitaron ko, zamanay ko bhi dekhain gay
Aa ke tumharee hum zindagee se khelain gay
Likhi hai apnee zindagi ki daastan
Mitay ga Nahi phir nishaan!



Credits
Writer(s): Count Basie
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link