Dil Ibaadat

Dil ibaadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujh ko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun
Zindagi ki shaakh se loon kuch haseen pal main chun

Jo bhi jitne pal jiyoon, unhein tere sang jiyoon
Jo bhi kal ho ab mera, usey tere sang jiyoon
Jo bhi saansein main bharoon, unhein tere sang bharoon
Chahe jo ho raasta, usey tere sang chaloon

Dil ibaadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujh ko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun

Mujh ko de tu mit jaane, ab khud se dil mil jaane
Kyun hai yeh itna faasla?
Lamhe yeh phir na aane, inko tu na de jaane
Tu mujh pe khud ko de luta

Tujhe tujh se tod loon, kahin khud se jod loon
Mere jism-o-jaan mein aa, teri khushboo odh loon
Jo bhi saansein main bharoon, unhein tere sang bharoon
Chahe jo ho raasta, usey tere sang chaloon

Dil ibaadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujh ko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun

Baahon mein de bas jaane, seene mein de chhup jaane
Tujh bin main jaaun toh kahaan?
Tujh se hai mujh ko paane yaadon ke woh nazraane
Ek jin pe haq ho bas mera

Teri yaadon mein rahoon, tere khwabon mein jagoon
Mujhe dhoondhe jab koi, teri aankhon mein miloon
Jo bhi saansein main bharoon, unhein tere sang bharoon
Chahe jo ho raasta, usey tere sang chaloon

Dil ibaadat kar raha hai, dhadkanein meri sun
Tujh ko main kar loon haasil, lagi hai yahi dhun

Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Sayeed Quadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link