Y.W.G.I

Unn ashko se panno pe bikhari siyaahi,
Mai doshi bhi kiska toh na deta safai
Mai likhta hu kaafi,jo kaafi ni kabhi yeh
Kiska hai gham jo na kahi pe shaamil

Mai Kisko du waqt mai yaha kisiko rehaai,
Mutassir na mujhese toh likhta kahani,
Munhazir na unpe akela hi kaafi
Mai sochu toh sbka, pr dikhta ni saathi

Hai raahi akela toh kyu vo bechaara,
Tha kisika pyaara ab kismat se haara
Hai jeena bhi chahta vo bachapan dubara,
Par ghadi ka kata bhi badhta hi jaara

Na lazim kisi pe, vo khatim kahi par
Hai vakaahif sabhi se, hai saahil nhi par
Haa qaabil vo poora,hai qaadir nhi par
Kuch barish ki bond hi de jaati keechad,

Dil ko dukha ke tum
Kitna ab gham doge
Vo koshishe kaafi thi
Tum nhi samjhoge

Kuch dokho ke dariye me girta chalu mai,
Ya fursat se baithe bs gazle sunu mai,
Mai deke yeh mauke, hu reheta sukoon me
Kuch mauke gawake, na laute kabhi vo

Na khwaabi the sapne,pr toote sabhi vo,
Na khwahishe zyda pr bikhar gyi vo
Na simti vo yaade, jo pakke un waadon se
Jodi hui thi,unn kachchi umar me,

Pr sach toh yahi,vo bhi maazi bani
Koi baat hi nhi, mujhe poora yaakeen
Do baate bana ke,bana na kavi
Toh baad ki baat me baat hi nhi
The haath bhi thaame, ab baadha kahi
Aehaas ki paas vo baithe yahi,
Naraaz hu unse pr kheta nahi
Unn kaato se zyada toh baate chubi,

Yeh phoolon se sapne, jo khilte nhi,
Kyu andekhi baaton pe, poora yakeen,
Jo aadhi sahi, par vo sachhi nhi,
Mai khudke mukhalif, koi sunta nhi,

Mai khudke mutabik hi karta zikar,
Mai kitne mutalik ki, karta fikar,
Mai keheta mutaliq, na kisi ka darr
Mai khudke musahib, muqaabil kidhar

In lafz e samadar me, khoya pada hu
Yeh gham ke aasu, mai hasta kaha hu,
In raaton ke badal ka, banna bhi chaahu
Prr dhhk du na chanda, toh ichcha chupaau

Kuch krke tum, waade phir laute nhi
Mai kitni umeedon,, se baitha wahi,
Thi jitne umange,, sb dabsi gyi,
Yeh lage betuki par,sb yeh sahi

Dil ko dukha ke tum
Kitna ab gham doge
Vo koshishe kaafi thi
Pr Tum nhi samjhoge

Yeh gham bhi kahi, kitni du mai wajah
Fir khoke swaalo me dhoondu jawab,
Hai yeh qaafiya kaafi,toh likhdu yaha,
Ab vo bhatka musafir bhi jag se fanna,

Ab vo Khush hai banake ek apna jhaan,
Unko din aur duniyaa ki parwah kaha
Kuch lagake baithe the parde yaha,
Aur soche ki dikhta alag aasama

Par sach toh yahi,, ki mai ab bhi wahi,
Tum sochlo jitna,,, kuch badla nhi
Tum tokku par rodu,,,mai deke hasi
Tum logo se pucha, na mujhpe yaakeen
Aur kosu mann jitna, mai sang hu yahi
Aur bolo jo hogi kuch,kya baat nayi,
Ya chhodo tum sang toh, purani sahi,
Aur lauto toh jaana mat, phir se kabhi,

Yeh khudi se baate, thi maine karii
Yeh gham bhi purane,, Ab bikte nhi
Hum milte jaha pe vo veeraan padi
Waha logo ko chhodo, ek patti nhi

Kuch matlab nahi, pr h koshishe poori
Kuch bane gawaa hai, kuch thherata doshi,
Pr humko bhi kya, hum toh maqsad ke khoji,
Bss jaana inn saalo me,, mil jata jo bhi

Bs khud ko na jaanu mai, ki mai kaha hu,
Aur rukna na aaya, toh na mai ruka
Thi sochi toh jaane ki, door kahinnn
Toh dil ki hi maani, bs chalta raha

Jo dekhi thi cheeze sb, gaano me gaao
Mai shayar ni khudko mai dhoond raha hu
Unn raaton ke badal sa banna bhi chaahu
Par dhhak du nachanda, toh ichchha chhupau



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link