Mere Khayal

Kabhi ye lage mujhe ke mai chhod du gaane ye gaana
Tabhi ye kaheta hai dil ke chhod bahane banana
Kabhi ye lage mujhe ke ye music mere baska nahi
Kabhi ye lage mujhe ke mai jitne wala zamana

Chahta batana par daru zamane se, karu mai type, fir rokhlu khudko
Baitha rheta leke hathon pe hath, fir khone pe mauka mai, dosh du khudko
Smajhu mai boj hi khudko, chahu mai nochlu khudko
Ye zindagi kardu khatam, tabhi dekhu maa ko aur mai rok lu khudko

Ye dil me hai kafi zakham abhi kisi dawa se na mile relief
Mai raat bhar gaane banata aur subah subah unhe karu delete
Tutata jara mai bahot ye zindagi roz nayi deri sikh
Juban to raheti hai shant par dil ye mera mare seene me chikh

Khud se mai karu sawal, ke kaise tu hoga
Safal
Naa paas hai baap ka paisa, na hi teri koi acchi shakal
Janta bahot si baate, kya sachme tu karta amal
Zindagi bahot hi faani hai, rokh le thoda samhal

Mere khayal
Mere khayal ye sone na de mujhe
Rona mai chahu
Sapne mere kabhi rone na de mujhe
Tutata ja raha ye hausala
Roz hi hoti bechaini si seene me
Apne jo hote hain sath
To aata maza hai sukoon se jeene me

Sukoon se jeena mai chahta
Gaano pe gaane banata
Jo kabhi na bolne wala tha
Aise bhi baate batata

Ye dil mera bada hi fool tha
Choti baato pe bhi ruth sa jata tha
Karta bharosa tha fake se logo pe
Dhoka milne par ye tut saa jata tha

Mujhe laga jaise meri zindagi hai bahot buri
Aakho me hai sapne aur apno se bahot duri
Sochu hote paise mere pas kafi sare
To mai kar pata apno ki sari khwahishe puri

Par kar lunga ek din kaheta mai khudko ab
Kamana paise bahot se aur maa ko hai bhejna hajj

Ke karu mahenat par na hoti kamayi
Hai apno ne apno ki lanka doobai
Jisne bhare mere baap ke kaan the
Jagah unki khali dozak hai bhai

Samjho ishara ye
Hu na akela wo malik sahara hai
Karoge mahent to milega
Dene wala nahi tutata tara ye

Muh pe hai smile aur thodisi aakhe nam
Khud pe bharosa hai, logo ke aage ham

Tu kare jo wo hai kamal
Chhod de krna sawaal
Le thoda sabar kaam
Ye teri kalam sbko degi jawab

Mere khayal
Mere khayal ye sone na de mujhe
Rona mai chahu
Sapne mere kabhi rone na de mujhe
Tutata ja rha ye hausala
Roz hi hoti bechaini ye seene me
Apne jo hote hain sath
To aata maza hai sukoon se jeene me



Credits
Writer(s): Muzammil Sayyad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link