Shukriya (feat. Yashomaan Apte)

Dastaan Jo yeh, khatam ho rahi hai
Kaarwaan Jo yeh, mitt Raha hai
Chal padenge kadam, apne hi raaston pe
Manzilein phir nayee dhoondni hai
Hai aalam kaise mod pe aa ruka
Aage Kya hona hai kisko Kya pataa
Iss pal mein thehra hai yeh Dil Mera
Kehna change kuchh tujhse sunn Jara

Shukriya, Shukriya
Haseen lamhon ke liye
Pyaari mehfil ke liye
Shukriya, Shukriya
Saari yaadon KE liye shukriya

Ho Gaye ho, kuchh khataa Jo
Ya gilaa ho agar koi to
Maaf karna
Baat Meri tu maan Leta
Har ek gum bhi to baant leta
Tu Mera
Har hasi, har Khushi
Tere saath hi judi
Thi Meri
Har hasi, har Khushi
Ho Teri yehi duaa
Hai Meri
In khushiyon ke liye shukriya

Shukriya, Shukriya
Haseen lamhon ke liye
Pyaari mehfil ke liye
Shukriya, Shukriya
Saari yaadon ke liye shukriya

Dil kehta hai Mera
Mujhse duur tu na rahe
Aanewali raahon pe
Mujhse tu Mila Kare
Sapnon ka silsila
Yuhi chalta chale
Yeh rishta pyaar ka
Aisehi juda rahe
Apni saari mastiyaan
Ho ya ho rusvayiyaan
Phir bhi ho yaariyaan
Yeh apni kahaaniyaan
In kahaaniyon ke liye shukriya

Shukriya, Shukriya
Haseen lamhon ke liye
Pyaari mehfil ke liye
Shukriya, Shukriya
Saari yaadon ke liye
Dil kehta hai mera
Shukriya, Shukriya
Haseen lamhon ke liye
Pyaari mehfil ke liye
Shukriya, Shukriya
Saari yaadon ke liye
Dil kehta hai mera

Shukriya



Credits
Writer(s): Ashish Joshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link