Aukaat Mein Reh

Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh
Aukaat mein reh
Aukaat mein reh
Aukaat mein reh

Chalti hu jaha jaha
Ghure mujhe yaha waha kyun be
Bata na saale kyun be
Ruku Jo main kahi pe bhi
Paas aaye ghadi ghadi kyun be
Bata na saale kyun be
Teri aankhen dikhati Tere khwaab hai
Jo Tere muuh se bhi kitne kharaab hai
Haat lagaane se baat badhegi yeh
Baat tu Meri sunn le

Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh... Aukaat mein reh
Aukaat mein reh... Aukaat mein reh
Aukaat mein reh... Aukaat mein reh
Aukaat mein reh... Aukaat mein reh

Beta baat maan jaa aukaat mein reh
Laathon pe aayegi yeh tu baaton mein reh
Chaar kadam paas chalke aaya hai tu
Ab Ulta ghum aur das kadam duur hi reh
Ab ruk ja, theher jaa, aur kaanon ko tu khol Kar
Jo bhi main kahunga un baaton ko tu sunn Kar
Sochkar, samajh Kar, unpe tu gaur Kar
Tu bann Kya Gaya hai, kabhi khud ko bhi judge Kar
Kaisa guroor hai Jo deta uspe raaj tujhko
Kaisa ghamand hai Jo chhede baar baar usko
Koi puchhe to tu bole KE yeh haq hai Tera
Aaina hu main, aaja tujhse hi Mila du tujhko
Tu sochta hai KE wo Tera ek khilona hai
Jo Tere kehne pe chale, ruke jhuke Tere liye kya
Wo ek Insaan hai is baat ko undekha karke
Tu yun jataataa hai KE tu hi uska maalik hai kya
Yehi teri unchaayee hai kya
Uspe jor dikhana mardaangi hai kya
Yehi tere taakat ki nishaani hai kya
Teri zubaani hai kya? Yehi kahaani hai kya
Tu nakli hai... Mard ke naam pe
Kalank hai... Insaan ke naam pe
Tu dhabba hai... Aankhen khol ke dekh
Tu to Kachchaa hai... Tu to bachcha hai
Beta Aa jaa gyaan du tujhe, tu jo bhi karne wala tha
Chal jaanj kare use, soch yehi tere saath hota
Kitna tu rota? Kya raaton ko tu sota
Apni Ijjat ke tukdon ko kaise tu batorta
Soch... Tu hero nahi
Par abhi sudhrega to tu zero bhi nahi
Funda bohot simple hai, yeh degree nahi
Gyaan kaafi hai ya baat andar ghusi hi nahi
Tu khayaal Kar KE Tere saare haq chheen liye
Lafzon pe kabzaa, harkate mere kaabu mein
Bol, Matlab hai koi jeene mein
Hota hai yeh uske saath haqeeqat mein
Phir bhi chupp rehena hai uske haaton mein
Kyunke har taraf tujh jaise jaanwar hai
Bolegi to acid ya petrol KE fanwaare hai
Gunhegaar tu, magar yehi sazaavaar hai? Kyun

Yunhi jeetejee Maru main kab Tak
Teri moothi mein jakdi rahu main kab Tak
In raahon pe jali hu, phir bhi haske hi badhi hu
Haske aansoon pee lu main kab Tak
Yunhi jeetejee Maru main kab Tak
Haan kab tak

Time hai sudhar jaa, limit mein reh
Yeh property nahi teri, tu pant mein reh
Shaitaan Matt ban, insaan hi reh
Beta baat maan jaa aukaat mein reh

Qubool nahi Rona mujhe
Dungi main jawaab tujhe sunn le
Dhyaan mein rakh le
Tondungi akad Teri
Chhod tu pakad Teri sunn le
Dhyaan mein rakh le
Insaan hu main, Insaan tu hai
Teri Meri ek yehi aukaat hai
Shaitaan tu banane KE khwaab rakhega to
Baat tu Meri sunn le

Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh aukaat mein reh
Laathon pe aaungi main tu baaton mein reh
Tameez nahi aur kadar nahi 'gar tujhe
Bhaad mein gaya tu Bhaad mein reh
Aukaat mein reh - time hai sudhar jaa
Aukaat mein reh - limit mein reh
Aukaat mein reh - yeh property nahi teri
Aukaat mein reh - tu pant mein reh
Aukaat mein reh - shaitaan matt bann
Aukaat mein reh - Insaan hi reh
Aukaat mein reh - beta baat maan jaa
Aukaat mein reh - aukaat mein reh
Aukaat mein reh aukaat mein reh
Niyat Teri sambhaalte reh
Tameez bhi rakh, Kadar bhi rakh
Insaan hai tu, insaan hi reh



Credits
Writer(s): Ashish Joshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link