E603 Sessions

Anjaane mein banaye aise faasle
Sudhana ateet kuch na saath de
Tu phir bhi rehti hai khayalon mein ab saath mein
Ankhon ke aage ab kitne sawaal the
Tere attet ke nishaan mujhe kat te
Raat mein kharochte nishaan the
Tu bole sach toh khudse bhagte
Tere bina toh ab yun ghar mein aati saaans na ye

Samay aur ghadi ke kaante ab ruke na
Mann ki aawazon ko bhi ab koi sune naa
Sab apni dhundon mein hi gum rehte aaj kal
Kisi ko khudi ki na parwah toh ab mujhe kya

Main toh gum, ghar ki khoj mei
Aas paas toh ab dikhta bas afsoos hai
Ye saari chahate ab jaati mujhse duur kyu
Mazaaron ke khayal rehte meri soch mein

Khauf ek, aaye maut naa
Tu sath toh sasoon ka lagta mol haa
Akele na samajh ab aate hai raat din
Tu sath toh main ghar ki karta khoj naa

Seeshe ka makaan aur fasa anjaanon mein
Muskuraya hi nahi hun ab main saalon se
Kab tak khudi ke hum bas jhoot ko sambhalenge
Fasata jaa raha hun main ab bahanon mein

Teri inn nazron mein jabse gira main
Apni aawazon se hi rehta hun ab ghira main
Saachi se duur bas ab ek gila hai
Vajood aur sukoon bhi na mila hai
Ab ankhon mein ankhen dalni haq se
Purana noor aur chahiye ghar hai
Marz mila mujhse duur rehke sabse
Par tere pass meri saans mera kal hai



Credits
Writer(s): Devang Bhandari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link