Dil Aa Jaata Hai (From "Dil Ke Taale")

Na aise,
Na aise na yoon bola karo tum
Haan dil aa jaata hai

Na na na na na naa

Na aise,
Na aisa na yoon ruttha karo tum
Haan dil sehem jaata hai

Na na na na na naa

Na bulane par mu phera karo tum
Na ghoor ke yoon dekha karo tum
Na gup-chup aise baittha kro tum
Haan dil dar jaata hai

Na na na na na naa

Na aise,
Na aise na yoon bola karo tum
Haan dil aa jaata hai

Na na na na na naa

Kabhi kabhi jo baaton baaton mein
Zikr doosron ka karti ho
Thoda thoda sa dil mera tab
Tod bhi tum hi deti ho

Kabhi kabhi jo baaton baaton mein
Zikr doosron ka karti ho
Haan, thoda thoda sa
Dil mera tab tod bhi tum hi deti ho

Par phir sab kuchh chhod chhad ke
Mujhko hi baatein sab bataaya karti ho
Yaad se har ik bitaaye pal
Mein mujhko bhi shaamil kiya karti ho
Meri bhi har ek pal ki
Khabar tum jaanch tol kar leti ho
Haan ye chhoti chhoti cheezein hi to hain
Aise hi nahi mera
Haan dil pighal jaata hai

Na na na na na naa

Na aise,
Na aise sharmaaya karo tum
Haan dil aa jaata hai
Na na Na na na naa

Na aise,
Na aise muskuraaya karo tum
Haan dil phisal jaata hai
Na na Na na na naa

Na naak yoon chadhaya karo tum
Na jaan ke yoon chheda karo tum
Na aise has ke dekha kro tum
Haan dil aa jaata hai



Credits
Writer(s): Harry Arora
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link