Blank Papers

Aaj lagbhag 2 saal ho gye javse chhoda Maine ghar,
Nikala tha kamane khudse,pr ab lagta kaafi darr,
Mai kis haal me hu, kaha rheta hu,ni kisiko khabar,
Kher puchne waale bhut hai,mai hi ni deta hu answers

Mai hi jaanu kya majboori thi kyu aya me yaha,
Lagne laga tha sb bhoj,kuch ni krr paya waha,
Bs form hi form, Aur notes hi notes,
Khaali Sunday hore waste,
Feels like suryavansham, or kuch bhi nhi hora tha naya

Haa mann krrta krluu baat, Pr nhi milta kafi waqt,
Unpe phone number hai mera, mai hi rakhta hu switched off,
Mai kuch karza krke baitha, log krte hai roz
Call,
Tabhi korre kagazo pe likhra saare dukh aur dard,

Dukh or dard
Inn korre kagazo pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard
Inn korre kagazo pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard

Yaad aati gharwaalo ki,jab mai laut ke room pe aata
Haath jeb me bajre chillar, hore kharche kam hai aatta
Vo yaad hai ghar ki chaadar jinpe pair the poore faile,
Papa phene khud chappal sasti,deke mujheko BATA,

Yaha ke dost khehte chalna bro sb chalte K F C me
Yaha pe rent dena baaki,yeh life kitni fucked si hai,
Bhai mehenat krrna khete sb, jab khud ki life easy hai,
Aur Haa mannt bhi maangi,lgra rab tu bhi busy hai

Ab toh motivational gaane bhi nhi karte motivate,
Mai bs besabar hu baitha krra ek mauke ka wait,
Pr nhi baaki kuch bhi umeede, haa rota hai yeh mard
Tabhi korre kagazo le likhra saare dukh aur dard,

Saare Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard

Ab mai baithke khudko kosu, deta khudko saara dosh,
Vo kon se shayar jo the khete,kaam hai aate sachhe dost,
Aaj sb comparison krte,mai kamata hu itna,
Mera toh no. sbse neeche, toh bs chup reheta hu roz

Bolte acha bhi time ayega, yaha ghadi shayd band,
Haath toh thama tha uss pyaar ne bhi, ab vo bhi nhi H sang,
Kher koi bhi ni and even me,yaha pe maange ek loser
SabKo chahiye self made success,pr nhi rakhna hai sabar

Pr ab roz ki esi zindagi na kuch hota hai
Asar
Aur hota bhi toh kisko hi yaha hogi phir kadar
Kuch ese hai halaat khulke krta ni zikar
Tabhi korre kagazo likhra Saare dukh aur dard,

Saare Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard

Bs yeh kagaz hi jo toke na, aur sunte meri baat,
Yahi jaane mujheko dhange se,pata inko sb jazbaat,
Thi ha jitni bhi yeh laachari,prr na hste yeh kabhi,
Sachhi dil Se meri ichchha ke kaash,karte yeh bhi baat,

Aur jo umeede khatam unpe lagre hai Marham,
Mai bhi likhra sb ke jaise, banra wanna be se one,
Pr nhi mai bhula apne dhang, nhi hai flex mujhko pasand,
Thoda likhke, jhoote dekhe toh,bs tote sb bharam

Ab bolne ko toh kaafi,pr ni hona chahta judge,
Bola jitne, dil ke andar tha, aur yahi mera sach,
Pr jab kaafi bhi hai kam, toh inko kya hi ho fikar
Tabhi korre kagazo likhra Saare dukh aur dard,

Saare Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard
Tabhi korre kagazi pe likhra saare dukh aur dard,
Dukh or dard



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link