Tu Mera

Lagta nhy, dil ye meraa
Tanha Kru Yeh Safar, tere bina
Andhera Hai Aas Paas
Roshan Kiya Yeh Jahan
Mery rab Se Hai Yeh Dua
Tu Ban Meraaa

Me tujh se door hun
Thora majboor hun
Thora hun bewafa
Kuch ghum me choor hun

Afsurda zindagi se
Afsany dillagi ky
Ab ganay gaa deta hun
Behlata dil sabhi ky

Ainay ky samne me ainea-e-ayam me
Ainda me tal dunga jam tere naam ky
Tu kar ahtemam meri jan mujy marne ka
Tere jaan nisar has ky jan dengy war ye

Ae kohe yaar tere zamnay guzar gae
Jo apnay ghar sy aye thy wo apnay ghar gae
Ab kon zakham-o-zehar ky rakhay silsilay
Jeenay ki ab hawas hy humay to hum mar gae

Ab bad qalam hen hum
Khud ky ghulam hen hum
Ab na hen gilay shikway
Ab bs azaad hen hum
Ab bs he rakh baki jalti hui yadon ki
Ab bs ke khakh baki purani kitabon ki

Shayaron ki shayari me sher nahi dard he
Hum khana chor baithe tabhi rang pila zard he
Tum ana chor baithe tabhi ghum mere gird he
Hum hasna bhool baithe ab to moat bani farz he

He qaraz tujh pe, yan mujh pe, ye jany khuda hi
Wo janta he wafa bhi or kon tha bewafa bhi
Me khud he hun ab khafa bhi ky diya me dagha q
Me mano kaise bani meri moat ki he waja tu

Kahin door hai
Woh kisi raaste mai
Kafi khush hai
Woh aab harne pai
Zakhamo pai phera hee hath hai
Bakamal hai woh, yeh khayal hai

Kahan karu mai talash woh kitaab ko
Hoo mere kaen sawalon ka jawab woh
Na dekha mainy kabhi benaqab hai woh
Phr kesi yeh shikayat dagabaaz hai woh

Baatein krti jao mai sunta jaun
Aisi woh ankhoon mai doob jaun
Kahin khoo na jaun mulaqaton mai
Shaheen hoon mai milo fizaon mai
Phir bhi jhuka hoon yun nighaon mai

Saasein na baqi kyun jeena hai
Lagy zakhamo ko kahin peena hai
Kabhi qaid hoon kabhi azaad hoon
Na rokey yeh saasein ab azaab hai

Karey wadon sai hi baney humsafar
Kahin wadon nai hi khodi qabar
Hum khawbon mai hi jeete hein ab
Hum khawbon mai hi rhete hein ab



Credits
Writer(s): Usman Siddiqui
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link