Prichay

Choti si umar se maine dekhe bade sapne
Ke gaau main gaane jo likhe ho mere apne
Padai me mann mera lag nhi pata tha
Sab samajh me aata per main samajna nhi chahta tha

Maa baap ko dekh kr
Hoti aankhen meri num
Vo krte kaam mere liye
Office me din bhar
Tabh jaake char paisa
Ghar se mere aata tha
Vo Salary ka paisa jab rent pr jata tha

Jebe hoti unki khali
Badti jaati zimmedari
Garmiyon ke mausam me
Bin AC essi raatein kaati
Sawan ke mahine maine
Chatt se aata dekha paani
Khate khud vo roti bassi
Deker mujhko roti taazi

Baatein saari yaad ker afsos hota aaj bhi
Main karta dil se izzat apne maa baap ki...
Bna diya mujh nasamajh ko ek samajdar aadmi
Ab baari meri unko khud per naaz ker vane ki

Main krta riyaaz Gaata raag
Sun mujhe prasan hote
Maa baap de aashirwad
Shubha shaam
Sangeet me dhiyaan
Main linn rehta
Tabhi clean likhta
Ab har jagha hoti meri charcha
Mujhe fark ni padhta
kon kya hai kehta
Logon ne diye mujhe taane jo
Unse nhi hai mere ghar ne chalna

Maa baap se puche
Piyush kya hai karta
Jaise kervana ho inhe
Apni beti ka rishta
Main 14 ki umar se
Kalam ghista sangeet bina
Mujhe mera career nhi dikhta
Main likhta gaane per public nhi krta
Rap main aur classical bhi sikhta
Kaiyon ko lge Piyush bahut hai cheekhta
To baaki abhi mujhe mere gale ko chirna

Ek din ja rha tha main school
Betha huaa tha main bus me
Ek budhe se uncle ne
Manga mujhse mera parichay

Beta bade hoke kya banoge

Class me gaata tha main jabhi
Hamesha bajti taaliyan
Unn taaliyon ke shor
Maine apna future paliya
Banna singer hai mujhe
Main uncle ko jawab diya
Vo haste huye bole
Ye sab bss hote chochle

13 saal ki umar thi
Jab khud se maine ye kaha tha
Banna singer hai mujhe
Kyun ki gaate huye maine apni maa ko sunna tha



Credits
Writer(s): Piyush Bilwal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link