Armaanon Ke Sapne

Jeevan mein ek lahar si hai
Dil mein dhak dhak dahak si hai
Sanson mein shole jal rahe
Ankhon mein shole jal rahe
Khushiyon ki ek lahar si hai
Man mein jaagi umang si hai
Sholon ke path pe chalna hai
Janjeeron ko pighalna hai

Jeevan ko phir sawar ke khul ke jiyoonga main yaara
Sapnon me rang bhar ke pura to karna hai yaara
Seene mein pyar hi to hai yaar hi to hai yaara
O yaara o mere yaara

Sab chehre phir se khil jaye
Muskanon mein mithas hai
Sabko jiski talash thi
Us manjil par khade hue
Thoda sa sab ko mil jaye
Thoda hi sabko chahiye
Sabke ghar ban sanwar jayen
Roti kapda bhi mil jayen

Taqdeeren phir se khul jayen phir chamak jayen yaara
Tasweeren phir se ban ke rangon se bhar jayen yaara
Seene mein pyar hi to hai yaar hi to hai yaara
O yaara o mere yaara

Socha tha jindagi mein phir
Apnon ke sang rahoonga main
Shahron ko chchod ke kabhi
Gaon mein phir rahunga main

Is armaan ko liye aasman tak raha hoon
Apnon ki yaadon ko liye raaste chal raha hoon

Sapne armaanon ke liye
Man mein ummeedon ko liye
Wo din to aayega kabhi
Ghar apne jaoonga kabhi

Gaon mein ghar bana ke kheti karoonga main yaara
Apnon ke beech rah ke masti karonga main yaara
O yaara, o mere yaara

Gujre us waqt ko kabhi
Wapas phir pa sakoonga main
Thodi si zindagi kabhi
Khushiyon se bhar sakoonga main
Dil mein vishwas ko liye
Dhridh nishchay kar raha hoon main
Sach kar doonga bhavishya mein
Sapne armaanon ke sabhi

Dil mein vishwas ko liye aas ko liye yaara
Mehnat main kar raha hoon paise bana raha yaara
Sapnon me rang bhar ke pura to karna hai yaara
Seene mein pyar hi to hai yaar hi to hai yaara
O yaara, o mere yaara



Credits
Writer(s): Sourabh Kishore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link