Doston Ki Shikayat

Doston Ki Shikayat Karoon Mein
Yeh Bhi Mujh Ko Gawara Nahi Hai
Loag Kaanton Se Bach Ke Chaltay Hein
Hum Ne Pholon Say Zakhm Khaye Hein
Tum To Ghairoon Ki Baat Kartay Ho
Hum Nai To Apne Bhi Aazmaye Hein
Keedgi? Peergi? Ke Ghanay Hijaabon Mein
Hoor? Toor? K Chaand Jhilmilatay Hein
Zindagi Ki Udaas Raaton Mein
Bewafa Dost Yaad Aatay Hein
Doston Ki Shikayat Karoon Mein
Yeah Bhi Mujh Ko Gawara Nahi Hai
Doston Ne Karam Woh Kiyeah Hein
Zindagi Ki Tamanna Nahi Hai
Sooch Ker Bewafa Mujh Ko Kahiyeah
Dhul Na Ja'ay Bharam Aap Ka Hi
Aazmaya Hai Dunya Ko Mein Nai
Aap Ne Mujh Ko Parkha Nahi Hai
Ho Ke Betaab Mayyat Pe Meri
Tum Yeh Kiyoon Benaqaab Aa Gaye Ho
Umr Bhar Jiss Say Pardah Kiya Tha
Aaj Kiyoon Us Say Pardah Nahi Hai
Aap Hoon Gay Wafaoon Ke Maa'il
Aik Din Yeh Haqiqat Hai Laikin
Aap Ka To Bharosa Hai Mujh Ko
Zindagi Ka Bharoosa Nahi Hai
Zid Na Ker Aaj To Ghoont Pe Lay
Ay Zahidaan Tu Sharaab Pe Lay
Na Ker Tu Kuch Ijtinab Pe Lay
Mein Tere Maa'non Namaaz Parh Loon Tu Mere Maan
Sharaab Pe Lay
Zid Na Ker Aaj To Ghoont Pe Lay
Zindagi Chaar Din Ke Hai Pe Lay
Mohtasib Apni Qismat Bana Lay
Maikada Hai Yeh Kaa'ba Nahi Hai
O Husne Jana Aray Tauba Tauba
Kitne Fitnay Jama Kiyeh Hein Teri Aik Jawani Nai
Chaal Qamayat, Kaafir Nazrein,
Aankh Sharabii... Kia Kahiyeh!
Aray Tauba Tauba, Huns E Janaan
Zahid Nai Mera Haasil E Imaan Nahi Daikha
Rukh Per Teri Zulfoon Ko Pareshan Nahi Daikha
Tauba Tauba Husn E Janaa.
Shabaab Aaya Kisi Gul Per Fida Honay Ka Waqt Aaya
Meri Dunya Mein Banday K Khuda Honay Ka Waqt Aaya
Unhein Dekha To Zahid Nai Kaha, Iiman Ki Yeah Hai
K Ub Insaan Woh Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya
Aray Tauba Tauba... Huns E Janaaan Tauba Tauba



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link