Arey Dwarpalo

Gareebi se bura haal, dharm-patni ke baar-baar kehne par
Sudama ji na chaahte hue bhi
Apne bachpan ke mitr shri Krishna se milne pahunche
Dwarikadheesh ke mehlon ke andar jaane ka prayaas kiya
Toh dwarpaalon ne kaha, "Ayy, kidhar jaata hai?"
Sudama ne praarthna ki, ae dwarpaalon...

Dekho-dekho yeh ghareebi, yeh ghareebi ka haal
Krishn ke dar pe vishwas leke aaya hoon
Mere bachpan ka yaar hai mera Shyam
Yahi sochkar main aas leke aaya hoon

Arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Bhatakte-bhatakte na jaane kahan se
Bhatakte-bhatakte na jaane kahan se
Tumhare mehel ke qareeb aa gaya hai
Tumhare mehel ke qareeb aa gaya hai

Ho, arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Na sar pe hai pagdi, na tan pe hai jaama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama, haan
(Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)
(Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)

Na sar pe hai pagdi, na tan pe hai jaama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama
Ho-ho-ho, na sar pe hai pagdi, na tan pe hai jaama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama, haan
(Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)

Bas ek baar Mohan se jaakar ke keh do
Bas ek baar Mohan se jaakar ke keh do
Ki milne sakha badnaseeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan, haan
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)

Sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan
Ho-ho-ho, sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan, haan
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)

Hua Rukmini ko bahut hi achambha
Hua Rukmini ko bahut hi achambha
"Yeh mehmaan kaisa ajeeb aa gaya hai!"
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Baraabar mein apne Sudama bithaye
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye, haan
(Charan aansuon se Shyam ne dhulaye)
(Charan aansuon se Shyam ne dhulaye)

Baraabar mein apne Sudama baithaye
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye
Ho-ho-ho, baraabar mein apne Sudama bithaye
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye, haan
(Charan aansuon se Shyam ne dhulaye)

Na ghabrao, pyaare, zara tum, Sudama
Na ghabrao, pyaare, zara tum, Sudama
Khushi ka samaa tere qareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Arey, dwarpaalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)

Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)
Ki dar pe Sudama ghareeb aa gaya hai



Credits
Writer(s): Kaifi Azmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link