Parasite

Main dekha tabaahee manavjaat Kyu hota parachhaee
Leke tum khanjar bante kasai
EIA se Dharti ka naas milta naa Saas
Post facto nikla woh raaz
Manavjaat kyu banta hain kaal Neta kasai jhaad halal
Vishakhapatnam main hua joh Leak Sarkar ka dosh, Joh diya woh Bheek
Galti hain kiska media se poch
Ticket ka paisa tum dete ho ghoos

Parasite joh paise ka khel
Parasite joh karta hain bhed
Parasite joh nakli ka fame
Parasite tum dikte ho same

Tabaahee ka Draft sarkar banaya
Jindal ka paisa sach ko chupaya
Kitno ka kaand fareb, Jhumla hua
Vikas ka rail
Hasa tu khod ko dekh, Saram ka Chaddar oadh ke fake
Dikha tu mujko same khod ko Chod ke karta hain blame,
Mandir toh yehi bana paisa kaha Fund se laa
Pedh ko nast kiya metro bana Dhan bada
Note ka sagar tu bharta, Tail ka Sagar q badta
Asli joh mudda bhatka
Pradhusan ka fanda gale pe latka
Soch ka sagar doba,
Signal pe bache ko poch kitna Woh bhooka
Tera woh soch sach ya jhoota
Krodh aur gussa jayaj hain.
Jayaj hain ye gussa

Na pata toh kar pata samajh ke Roop ka
Le sabak na dekh mazhab Hevaniyat ke bhook ka
Jaat Paat naam par insaniyat hai bechta
Woh amir ya tu garib prakop na Ye dekhta
Char dubki maar tere paap na Dhulte
Bhulte logh samajh ke raaz joh Khule the
Cast insan Ke upar jake khada Abh
Aag badle ki jal bekasur mara bas

Mulya sutra na hua putra fir Julum bas kati naari
Deke sath aanath ka Ban iswar ka tu bagidari
Na samjh samajh ke khokhle iss bhed Ko
Santan na hua toh Sirf. Aurat ko Hi dosh do
Baate dharam ki na karam kiye
Jebe garam ki na sharam kiye
Soch hai badlao ki na dhong ki ye
Apni soch pe na sankoch kiye

Samajh jaise ye hai maya jaal
Jaal se Khud ko sambhaal
Dharm ka kyu hai bawal
Unse dur jo chalte ye chaal
Deke ye daan lete hai jaan
Mat ban anjaan ban samjdar
Leke ye gyan Tu fela prakash
Kam-akal log kare ye vinash
Dar ke baag nai jaag abhi
Karega kuch to hoga tabhi
Achhe kam tu karega kabhi
Kar aisa jagruk ho sabhi
Neta Ke Bhashan hai bekaar
Wo desh ke hai vikaar, Leke m
Masumo ki jaan
Kyun Baithe ab shant hai, chalate Ye sarkaar
Banate ab vyapaar, Bhait ke top pe Kare brain wash
Tu banta gulam vah banta boss.

Parasite joh paise ka khel
Parasite joh karta hain bhed
Parasite joh nakli ka fame
Parasite tum dikte ho same



Credits
Writer(s): Raptors Crew
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link