Ya Haider

Ya haider ya haider
Ya haider ya haider

Nafse payambar haider
Fatahe khaibar haider haider

Ya rab tera shukr mujhe bakhshi hai mohabbat mola ki
Jo zaat tere wahid hone ki gawahi hai
Har samt nazar aati hai raushni tere jalwon ki
Jiski chahat me ye sarshar khudai hai
Charcha hi uska ya rab manzar manzar hai
Har samt fazaon me bas haider haider hai

Mera aaqa mera sayyad mera rahbar hai haider
Meri pahchan mera iman isi se hai
Kyun khauf mujhe hoga main jiske dar ka hoon naukar
Konain ki mushkil bhi aasaan isi se hai
Ye tariqa hashr me baa andaze jali hoga
Mahshar me shafat ka unwan ali hoga

Badro khandaq ho ya phir khaibar jaisa maidaan ho
Ik marde mujahid hi be khauf nazar aaya
Aaghoshe payambar ko fathe islam ataa karke
Phir chain se maidan se wo laut ke ghar aaya
Apni marzi pe muqaddam haq ki rizayat hai
Isko to jaan se pyari deen ki izzat hai

Salman batate hain tere dar ki fazilat hai kitni
Kaunen me uska saani milna mushkil hai
Jisko ghame dunia ki lahro ne banaya hai qaidi
Teri chaukhat aisi har kashti ka sahil hai
Itna rutba wo itna ooncha kar denge
Fizza ko chashme zadan me sona kar denge

Jiske ishqe ali mola dunia me mayassar ho jaye
Rakhta hai jahano me andaz juda apna
Jisko irfane ali mahboobe payambar ho jaye
Shamme kirdar se raushan karta hai dunia
Ye ishq irado me quwwat ki ramaq dega
Insaf adalat ka dunia ko sabaq dega

Hai kon jo maidan me haidar ke muqabil aa thahre
Dunia me koi aysa jarrar nahi hoga
Ho laakh bahadur koi marhabao antar ke jaise
Maidan me jane ko tayyar nahi hoga
Ye shere yazdan hain ahmad ka bharosa hai
Fathe paighambar ka haider hi zaria hai

Mola teri shan nirali nam nirala hai mola
Tere naam ke sadqe me har samt ujala hai
Jisne teri chaukhat pe daman phailaya hai mola
Usko ummid se zyada tune bakhsha hai
Tera ishq zamane me azmat ki nishani hai
Maiaare shahanshahi tere dar ki ghulami hai

Sare aalama me bas ik tu hi sahara hai mola
Jab bhi mushkil me pade tune hi sambhala hai
Ik hum hi nahi hai jisne tumko pukara hai mola
Tumko nabiyon ne aur waliyon ne pukara hai
Aamadae nusrat wo khaliq ka wali hoga
Aawaz laga dena pahlu me ali hoga

Hai daste yadullahi me deene mohammad ka parcham
Koi taqat isko neecha nahi kar sakti
Karti hai fathe jali inki hi sana khani paiham
Parda poshi ispar dunia nahi kar sakti
Fakhre kaba molae qambar dikhta hai
Islam ko mushkil me bas haider dikhta hai

Jo zaat musibat me ummat ka sahara hai ya rab
Usko hi tere ghar me maloon ne mara hai
Farqe mazloom se jaari khoon ki dhara hai ya rab
Wawaila wawaila har samt ye nara hai
Hasnain tadapte hain zainab fariyadi hai
Qad qotla haider ki koofe me munadi hai

Har samt raza hoga haider ki ghulami ka charcha
Us waqt waseem ahle aafaq pa chayega
Dekhenge jahan wale midhat ka asar aysa hoga
Parcham fathe haq ka har su lahrayega
Gulshan gulshan buye midhat ki fiza hogi
Har su bekhauf namaze ishq ada hogi



Credits
Writer(s): Molana Asghar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link