Humnasheen

Wo Bholi bhali larki
Khabon ki door main atki si
Naadan pari si
Phoolon ki khilti kali si thi
Dil kehta ha keh doon jo ha mery maan main
Jane kiya ho ga kiya ha uske maan main

Ae mere humnasheen chal
Kaheen aur chal
Is chaman main ab apna guzara nahe
Baat hoti guloon tak tou seh lete hum
Ab tou kaanto pe bhi haq humara nahe

Wo jheel si ankhain
Khaboon se he bhar jati thi
Dil pe ye dhak dhak dharkan meri le jati thi
Ab tm yu pass he rehna
Tanha mujhko na kerna
Tm bin ab jeena na jaye ga jiya

Thokrain yu dilany se kiya faidaaa
Saaf keh do k milna gavara nahe
Ae mere humnasheen chal
Kaheen aur chal
Is chaman main ab apna guzara nahe

Meri aas ha mery paas ha
Mujhe zindagi ki pyas ha
Ye doorian
Majboorian
Tere bin jiyo kesy jiyo
Ye tou bata do meri jaan
Dhoka diya tha
Ya hoi ha tmse khata

Umer bhar ka sahara
Bano tou bano
Do ghari ka sahara
Sahara nahe

Ae mere humnasheen chal
Kaheen aur chal
Is chaman main ab apna guzara nahe



Credits
Writer(s): Syed Khalid
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link