Tamaam Lashon Ke Darmiyaan

Tamaam lashon ke darmiyan ye lahu ke aansu baha baha ke
Pukarti hai ali ke beti hussain bhayya mere kahan ho

Tamaam patthar hata hata ke badan ke tukde hata hata ke
Pukarti hai ali ki beti hussain bhayya mere kahan ho

Har ek lasha uthaya tumne
Tumhari mayyat padi hai ran mein
Ghareebe zahra ko zalimo ne lahu bahaya rula rula ke

Tumhari zainab pe ye ghadi hai
Akeli pardes mein khadi hai
Ridaye looti humare sar se humare khaime jala jala ke

Lahu mein gesoo ate huye hain
Libas saare phate huye hain
Mujhe sada do ho kis jagha par gale laga lo mujhe bula ke

Teri sakina jo puchti hai
Kahan gaye hain padar humare
Tamanche maare hain zalimo ne hain zakhmi rukhsar ghamzada ke

Nahi hai koi bhi ab sahara
Ujad gaya gulsitan humara
Ye ajr humko ata kia hai bala mein mehman hume bula ke

Ye zulm ki inteha hui hai
Nabi ki behurmati hui hai
Jise nabi ne zaban chusai usi ko mara rula rula ke

Raza ye maqtal mein binte haider
Wasim kahti hai mere sarwar
Mein jaungi kis tarha madina bala ke jangle me ghar luta ke



Credits
Writer(s): Molana Asghar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link