Taarifein

Aaya hai tu zindagi me iss tarah
Aati hai seene ko saanse jis tarah
Tere bina jeeta tha mai bewajah
Jaane du aakhir mai tujhko kis tarah

Mai likh du panno pe
Teri hi taarifein
Mit jaaye jo padh ke
Jahaan ke taklifein

Mai bhatku awaara
Teri hi gali me
Jo bhi hai sang mere
Teri hi hai cheezein

Tere saamne
Hi to khade the hum
Nazar kyun
Phere hai piya

Kyun mora
Jalaye Jiyara
Nazar kyun
Phere hai piya

Nihaarne de
Teri aankhen
Mujhse jab wo milti hain

Nihaarne de
Teri aankhen
Mujhse jab wo milti hain

Hai khushnaseebi
Mere labon ki
Tere labon se jo ghulti hain

Sach kehta hai
Tera Piya
Darr lagta hai mujhe
Khone se tujhe

Mai likh du panno pe
Teri hi taarifein
Mit jaaye jo padh ke
Jahaan ke taklifein

Mai bhatku awaara
Teri hi gali me
Jo bhi hai sang mere
Teri hi hai cheezein

Mai likh du panno pe
Teri hi taarifein
Mit jaaye jo padh ke
Jahaan ke taklifein

Mai bhatku awaara
Teri hi gali me
Jo bhi hai sang mere
Teri hi hai cheezein



Credits
Writer(s): Apoorv Sharan, Sanket Kumar Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link