Khwaabo mein

Jeet ka guroor hai
Maut abhi bhi door hai
Kal likhi jo shayari
Vo aaj bhi mashoor hai
Ret ke makaan khade
Jude hai hauslon se
Baarishon me dam nahi
Fauladon ko ye kose

Na jeena ka ghamand
Na dar tha maut ka kabhi
Subha dikha hasta hua
Ye raat hai abhi
Hai maasum
Ye chehre
Dukho ke hai ye pehere
Dilo ke Raaz gehre
Hai gehre gehre ghere
Gehera ye samundar
Mai usme beheta paani hu
Samay ko rok du Zara
Jo kehdu mai vo praani hu
Kushal hu har ek cheez me
Dikhu na mai us bheedh me
Log chalte hai jaha chaudh se
Un haatho ki lakeer pe
Lakeer apni hai miti
Sapne likhe hai khoon se
Chalta jaha bhi Roz hu
Na dar na hi sukoon se
Chue hai aasman kayi
Zameen ko kho diya sa hai
Karm apne hai safed
Ye pyaar bs gunaah sa hai

Khwaabo mein
Lelo mujhe
Ye zindagi hai kyu raakh si
Ab intehaan
Yu hogyi
Ye dastaan hai baaki si

Tere un aakho ki aanchal se mai ghira hua
Tere un pairon ki payal se mai gumrah hua
Jo baitha hu mai chain se
Bechain hu zara sa par

Na tu agar to rehne de
Koi bhi na sahi
Koi bhi na chalegi
Koi bhi ho haseen
Kyu dekh Pau na mai
Khuli si vo hasi
Jaise tu hasi thi
Mili thi jab kabhi
Mili thi jab kabhi

Khwaabo mein
Lelo mujhe
Ye zindagi hai kyu raakh si
Ab intehaan
Yu hogyi
Ye dastaan hai baaki si



Credits
Writer(s): Aryan Basantani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link