Tu Hai

Jaane Ki Baat Hai To Jaan Lo Ye Jaane Jaa,
Tum Pe Hi Hum Marte The Aur Tum Hi Pe Hu Marr Mita
Mite Na Ishq Ye Kalam Meri Kare Riha,
Band Teri Kaid Me Hu Par Tu Meri Bandi Na,

Haa Aasmaan Jhuka Du, Sar Ko Tere Dhak Du Mai,
Na Aanch Aane Dunga, Tere Raaz Saare Rakhu Mai,
Mai Naam Bhi Na Lunga Kisi Bhi Apne Geet Me,
Piroke Moti Mala Si Gale Me Apne Rakh Lu Mai

Tu Rehnuma Si, Mujhpe Chad Rahi Khuda Si
Mai Badh Raha Hu Aage Phir Kyu Badh Rahi Udaasi,
Juda Si Ho Rahi Hai Tu Rooh Bhi Khafa Si,
Gumshuda Hi Ho Gye Tu Dikhti Na Zara Bhi

Meri Baaton Mein Tu Hai, Kyun Hai, Kyun Nahi
Meri Saanson Mein Tu Hai, Kyun Hai, Kyun Nahi

Ek Baar Phir Se Zaaya Honge Shabd Yaad Mein,
Tu Chahti Kyun Nahi Humein Kya Zyada Tujhse Maangte
Haa Dena Chahte Tujhko Khushiyan Hum Hai Saari,
Jo Tu Khush Nahi Humare Saath To Khushiyan Kaise Baant De,

Itna Hi Bata De Kyun Khade Hai Tere Saamne
Jo Silsile Bade Hai, Jo Humne Gadhe Huye Hai,
Jinke Pass Bhi Na Jaau, Tab Bhi Wo Jude Huye Hai,
Ye Dil Ke Taar Jaana Kaise Bandhe Huye Hai

Jaam Peeke Aaj Phir Se Roya Saari Raat Mai
Ye Kaisa Dard Hai Jo Jaana Hota Baar Baar Hai
Haa Itna Sunke Bhi Tu Boli Mujhko Baat Ye
Ek Tarfa Pyaar Hai Aur Dil Hi Zimmedar Hai

Meri Baaton Mein Tu Hai, Kyun Hai, Kyun Nahi
Meri Saanson Mein Tu Hai, Kyun Hai, Kyun Nahi



Credits
Writer(s): Chirag Goyal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link