Wilayat Ke Liye Baba

Akele Jab Hussain Ibn e Ali Maqtal Mein Aa Puhanche
Yazeedi Fauj Se pucha Bhala Kyun Jung ki Mujhse
Kaha Zalim Ne aye Shabbir Hum Dushman Hain Haider kay
Ye Suntay hi Najaf ka Rukh kia Aur Shaah ye Bole

Yahan Shabbir Aaya hai Wilayat kay liye Baba
Ye Ghar Maine Lutaya hai Wilayat kay liye Baba

Jise dekho yahan Baba Ghadeer e Khum Ka Dushman Hai
Wilayat Aapne Paiii yehi in sab ko Uljhan hai
Humen Sab Ne Rulaya hai Wilayat kay liye Baba

Main Apni Betiya'n Aur Apni Behne'n Sath Laya hoon
Zameen e Karbala Mein Hoon Madina Chor Aaya hoon
Yahan Khud ko basaya hai Wilayat kay liye Baba

Ali Akbar a.s Kay Seene mein Tha Mere samne nezaa
Sina Maine Nikali to Tarap Kar Mar Gaya Beta
Wo Laashaa bhi Uthaya hai Wilayat kay liye Baba

Dia Hai chay Mahine Mein bhi Mera Sath Dilbar Ne
Sitam Kay Saamne Hans kar Mere Be sheer Asghar Ne
Gale Par teer khaya hai Wilayat kay liye Baba

Badan Qasim Ka Maqtal Mein hua Pamal ay Baba
Mere Own o Muhammad ka Ajab tha haal ay Baba
Sabhi ne sar katayaa Hai
Wilayat kay liye Baba

Sakina Reh Gai Pyasi Mera Abbas na Aaya
Gira Be Dast Moo'n kay Bal zamee'n per Aap Ka Saaya
Wo Bhai bhi Lutaya hai Wilayat kay Liye Baba

Tamanche Khaigi ab sham tak baba Meri Beti
Khule Sar Shaam Kay Bazar Mein jaigi Zainab Bhi
Yahan Har Gham Uthaya hai
Wilayat kay Liye Baba

Gale per Shaah kay Zeeshan o Mesum Chal gaya khanjar
Sada Deta raha Nayze pe bhi Shah e zaman ka Sar
Gala maine katayaa Hai Wilayat kay liye Baba



Credits
Writer(s): Janab Abidi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link