Khwaabon

Yeah

Maut dimaagh pe, beaten mere saamne
UNHXLY jab bhi bheje rapper lagte hain haram
Bemisaal thay aur rahenge evolve ye nai karte
Karein IG pe bakwaas par ye kaam nahi karte boys

In rapperon ke liye men hoon muntazir (Muntazir)
In ki ego bolay mera bolay dil (Bolay dil)
Seedha saadha larhka rahunga mukhtasir
Darasil mera dil kabhi hil paya nai

Views shiews shout-out waali game pe ghaur aaya nai
Sach ko chupa ke maine jhoot hai dikhaya nai
Aisa nai kabhi mujh pe bura daur aaya nai
Par kyun khaun uss darakht se jis'se mujhe mile saaya nai
Messiah nahi mai Ali Mustafa hoon
Rapper hoon na hoon pehle insaan hoon
Islamabad sheher se tu aa dhoond
Thand ka men aadhi hoon par de raha phir bhi aag kyun

Saath doon? Rakho kia tum sab se men gila na?
Asoolon pe hoon paise ke liye gira na
Fark hum men ye tum dekho mehnat ka hai sila kia
Mai khushi khushi keh raha ye mehnat hi ek sila haan
Yehi sabhi baithe chain se hain intezaar mein
Kab mai girungaa aur inko lene doonga saans mein
Ya Khuda mere dushmano ko khwaabon ka ehsaas de
Mehnat ka hai gawah tu toh sada mere saath reh, till I

Get old, get old fast
17 getting there fast
I guess that we'll never fall off yeah
I guess that we'll never fall off yeah
Get old, get old fast
17 getting there fast
I guess that we'll never fall off yeah
I guess that we'll never fall

Chars damaag mein, kalam mere haath mein
Lafz dhoond raha jisse mujhe saare saath den
Scene ko hai wafa dee
Khuda de silahiyat to kaise dikhau akarh bhai?
Aaj pehli baar paise mile music se
Jaa ke tol ansoo jo gir rahe thay
Maine maa ko treat hi nahi dee, besharam wohi paise maine game ko thay diye
Aadhe aadhe karke saare boys mein baant diye
Mere dost mujhe bol rahe "Dimaagh sahi hai?"
Par mera ek hi to khwaab ke hum ban jaye misaal
Jo humaare liye kabhi jo misaal nai thay
Maine dard sahay buhut mere khwaab tootay
Mere bhai bhai bane jo hain aaj nai
Jab mujhe artist ki dard pata bol kyun na banu woh sahara mere liye jo hi tha hi nai?

Kyun na jitney milay utne waapis de doon game ko?
Kyun na samjhaun bhaiyo ko ke "Na rakho tum aims low"
Khusar phusar lage rehte kehte "Ali faaltu ki mehnat bhoolja Islamabad ka bhi scene ho"

Bolo phir kia sab ki umeedon ko mai mardoon?
Tujhe khush rakhu aur pehchaan apni maar doon?
Ya khuda mere dushmano ko mehnaat ka ehsaas de
Mujhe jo naseeb kiye inko bhi woh khwaab de, till I

Get old, get old fast
17 getting there fast
I guess that we'll never fall off yeah
I guess that we'll never fall off yeah
Get old, get old fast
17 getting there fast
I guess that we'll never fall off yeah
I guess that we'll never fall

Woh jaanti I need her, woh jaanti I need her
Woh jaanti par jaan ke bejaan chorhe kehti "Teri jaan ek museebat"
Yeah
Meri jaan ek museebat, yeah
Meri jaan tu museebat
Kaash ke mai jaan ke iss jaan ko hi bhul jaaun bas issi baat ki takleef ab, yeah
Mai jaanta I need her, yeah
Mai jaanta I need her
Mai jaanta par jaan ke na jaan paaun kyun usko mile na naseehat?
Mai phir bhi wohi ab
Mai phir bhi Ali, love
Loag apne ghar waapis mun nai morhte musaafir ban'ne ki umeed par, yeah

I know you're listening girl
No you don't care for me, but
Mai abhi buhut high, buhut high teri yaad mein
Aur tu ab jidher bhi ab, mujh ko koi gila nai ab
Shaayad mai jisko yaad kar'raha wo ab mile mere khwaab mein



Credits
Writer(s): Ali Mustafa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link