Kya Kar Diya

Panchi pehle se ab chehakte hi nahin
Kaagaz ke phool hai, mehakte hi nahi
Panchi pehle se ab chehakte hi nahin
Kaagaz ke phool hai, mehakte hi nahin
Nadiyon ke pani mein ab, woh rang na rahe
Jungle pehle se ab, lagte hi nahin
Jab bhi kiya, hai galat kiya
Kyon insaan kisi aur ka, soch ke na jiya

Insaan yeh zinda jisse raha hai
Tabaah usne uss mitti ko kiya hai
Hawa saanson ke khatir na bachi hai
Subah ab woh pehle si na kahin hai

Kabhi baha paani sheheron mein
Kabhi aaya toofaan lehron se
Hilti rehti hai zameen yeh kabhi kabhi
Sookhi hi dharti padi hai sabhi abhi
Tabaahi tabaahi machegi har taraf
Tabaah hai kiya jo zameen ko

Insaan yeh zinda jisse raha hai
Tabaah usne har usi ko kiya hai
Hawa saanson ke khatir na bachi hai
Subah ab wo pehle si na kahin hai

Jo ujaade hai darakht, chalo lagaaye unko
Jo lagaayi aag hai, chalo bujhaye usko
Jo sambhala hi nahin, chalo sambhale usko
Mit rahi hai jo zameen, phir sajaaye usko
Mitti se hai zindagaani, usko hi hai bachaani
Yeh sabak seekhe hai hum, aur sikhaaye sabko
Tal jaayegi sab mushkilen,
Hoga aasaan jeena phir
Yeh zehar si hawa na, leni padegi phir

Banayi rab ne dharti thi,
Phir humein haq de diya
Sambhalo tum isko kaha tha
Par humne kya kar diya



Credits
Writer(s): Abhishek Sharma, Azhar Malek, Dharak Dave, Parth Gandhi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link