Aaoge

Baahon mein kabhi to aaoge
Likhe gaane mere hi tum gungunaaoge
Firse hothon se lagaaoge
Madhoshiyon mein battiyan bujhaaoge

Chal iss shaam ko firse subah karein
Iss duniya ki kyun parwaah karein
Teri panaahon mein milti hain raahatein
Agar ye gunaah hai to kyun na gunaah krein

Ye chaand bhi ab lage na haseen
Bas tujhko hi dhoondo mai har kahin
Ye aadat jo tu lagaa gayi
Ab tere bin hai sukoon nahi

Hum panne hi bharte rahe jaaneja
Jabse dekha tujhe
Hai jaahil khuda, teri jaisi kabhi kyun likhega mujhe
Hu mai thoda sa paagal, nahi ho jo kismat mei cheenunga mai
Ye duniya zeher si tere khatir inko bhi pi lunga mai

Kashmakash se bhare hain hum
Hain saasein meri uljhi tere baalon mein
Sookhi kabse meri zameen
Tu pyaas meri pyaasa mai hu saalon se

Iss pyaas ko aake bhuja zara
Kisike kehne se dooriyan na badha
Jab teri bhi haan aur meri haan
Fir pade kyun farak kon hai khafa

Iss sharm ko hata hayaa hataa
Ise kehte na khata tujhe pata
Jo dil mein hai jataa mujhe bata
Jo dil mein hai jataa mujhe bata

Jo chumun mai tujhko to lagta adhoora ab kuch bhi nahi
Tu hi wo adhoorapan tere siwa kuch na maangu kabhi
Mai jitna bhi dhoondun sukoon teri baahon sa hai na kahin
Aa de ye sukoon mujhko kho jaaen hum sang abhi ke abhi



Credits
Writer(s): Prakhar Gupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link