F*uck child

Haa
Me karu na khud ko barbaad
Par chuttey haath toh fir lage Parr
Darta tha darr se main is kadar ke
Hasunga Aaj to kya hoga kal
Hasta tha tabhi me nahi tha safal
Kyu rota Aaj ki nahi hu safal
Socha nhi tha ki Aisa safar hoga tere bina hi ye hoga safar
Mujh me jyda thi bookh aur jyda talap
Jyda sapne par jyda bhi hona galat
Me aisa tha shaks jo zinda tha Khali
Aur jeetey ji Mila tha Ghar hi narag
Mujhe aise na dhak ki me hu hi nhi ab
Katon pe palke phoolon se dhakte kyu tan
Me marr chukka andar se aayenge sub kab?
Jaane ke baad ya uthne se pehle

Insaan hi hota hai insaan ke ruthne se pehle
Main dalunga tujhpe sub sajdon me jhuk ne se pehle
Tu mujhe utha lena uth ne se pehle
Khali the sukhe patele aur sote the bhookhe pait pehle

Ab jyda nahi sochte fook ne se pehle

Kyu hum fooktey nahi hai tutne se pehle

Mujhe aisi lagi hai talab ab maut ki

Rota hu soch ke Roz hi
Jeena padega iss dard ke saath
Jeena padega iss luck ke saath
Chahta hu badle na waqt ke saath
Wo badal hi jaatey kuch waqt ke baad

Me khud ko pakka ta hu dhakk ke raat
Me khud ko bana ta hu 10 ke baad ha
Rastey naap ke jata na bus ke bhar
Me khud ko dikha ta hu rakh ke ghar se bhar
Na saath me baap aur haath me paap na khud ko daat ta hu

Tabhi na khud sambhal ta hu
Me sub ki nazar me to ladka hu
Wo Jane na kitna me marta par
Wo Jane na kitna me ladta hu

Maut ka shauk nhi mujhe aur jina yaha kise pasand nahi

Karam to mere bhi aache hai par lagta hai jeene ka dhung nahi

Jaisa hu pasand Karo ya nahi par mera koi dusra rung nai

Badan pe phool me chahta hu

Dua hai na ho janam fir



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link