Dour e Zulmat Me Hai Tu Chamakti Kiran (feat. Abdullah Razi SM)

Har jaga wehshataw se bura haal hai
Nafrato ne yaha per buna jaal hai
Kache zehno ko masmoom karte huwe
Hasido ne chali ek nayi chal hai
Aag hi jis jaga khal hi khal hai
Dukhtare mandiya ek naya faal hai
Jo sitam ke muqabil bani dhal hai

Dekh Muskan teri nayi ye phaban
Tu salamt behen Tu salamt behen
Tu salamt behen Tu salamt behen

Garm o taza o pur josh aisa lahu
Aag gar kufr hai tu hai ek shola khu
Jis pe Qurban tarze takallum huwa
Sirf Allah u Akbar rahi guftgu
Maiye tawheed awr ek nazuk subu

Dor e zulmat me hai tu chamakti kiran
Tu salamt behen Tu salamt behen
Tu salamt behen Tu salamt behen

Sari dunya hai shashdar wo jurat teri
Zan ho mahjoob bas ye hai chahat teri
Ek nigahe galat se hai bismil jahan
Bayise azm o himmat hai shohrat teri
Khofe rab tujh ko awr sab pe haibat teri
Tere paase nabi tha jo kehta raha
Sar nigoo kaise hojaye ummat teri

Mehre Islam ko na lage ga gehen
Tu salamt behen Tu salamt behen
Tu salamt behen Tu salamt behen

Binte Hawwa teri munfarid shaan hai
Khak e murda ko bakhshi nayi jaan hai
Ghan garaj teri awaz ki Al Aman
Rooh bedar karti teri taan hai
Fakhre Karnataka deen ki pehchan hai
Fikre no ki sabeele lagati chali
Toot sakta nahi jo bharam maan hai

Tujh pe Rahmat Khuda ki ho saya figan
Tu salamt behen Tu salamt behen
Tu salamt behen Tu salamt behen



Credits
Writer(s): Farzana Mohtesham
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link