Kahan Gaya Jungle

Opening Music
(Flute By Atul Bamola)

Is dharti par ek jungle tha, jungle kata to sheher bana
Sheher hua to raja bana, raja hua to nagar bana
Nagar hua to nagrik they, padhe likhe they jagruk they
Apne raja se din raat wo kehte ek hi baat, ki wo

Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle
Ke wo Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle

Us raja ke jo poorvaj they, boodhe bade sayane they
Niyam bataya raja ko ek kaat ke chaar lagane they
Us raja ki ek rani thi
Us raja ki ek rani thi jis se tha us ko rajkumar
Wo bhi akal ka tha dushman arey boya ek aur kaate char
Peedhi dar peedhi prithvi se ped ho gaye gum
Peedhi dar peedhi prithvi se ped ho gaye gum
Ghar jaoge to apne raja se kehna tum, ki wo

Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle
Ke wo Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle

Us jungle mein ek ped tha jis pe panchi ka dera
Panchi ke they yaar langoti, hiran, kabootar shera
Phir jungle mein ek din lag gaya insano ka phera
Ped kat gaya lakdi mil gayi, ghar ban gaya mera

Ab ghar main chain se rehta hun, khwab sunehre bunta hun
Angan main panchi ke bacchon se ab bhi ye sunta hun ke

Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle
Ke wo Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle

Jo aane wali peedhi hai us se bas meri yahi guhaar
Jungle jake ek ke badle ped lagao sabhi hazaar
Jo aane wali peedhi hai us se bas meri yahi guhaar
Jungle jake ek ke badle ped lagao sabhi hazaar

Taaki aane wali peedhiyan tum se na puchein, ki wo

Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle
Ke wo Kahan gaya jungle ke wo kahan gaya jungle



Credits
Writer(s): Subham Bhatt
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link