Ek Ajnabee Haseena Se

Vo achaanak aa gayi yoon nazar ke saamane
Jaise nikal aayaa ghata se chaand
Vo achaanak aa gayi yoon nazar ke saamane
Jaise nikal aayaa ghata se chaand

Chehare pe zulfen bikhri huee thim, din mein raat ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi

Jaan-e-man, jaan-a/e-jigar, hota main shaayar agar
Kehtha ghazal teri adaon par
Jaan-e-man, jaan-a/e-jigar, hota main shaayar agar
Kehtha ghazal teri adaon par

Maine ye kahaa to mujse khafa vo jaan-a/e-hayaat ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi

Kuubasurat baath ye, chaar pal ka saath ye
Saaree umr mujko rahegaa yaad
Kuubasurat baath ye, chaar pal ka saath ye
Saaree umr mujko rahegaa yaad

Main akela tha, magar ban gayi vo hamsafar, vo mere saath ho gayi
Ek ajanabi hasina se yoon mulaaqaat ho gayi
"phir kya hua?" ye naa pucho, kuch aisee baath ho gayi



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, R.d. Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link