What To Do After Coming From The Crematorium

Ek baar ek vyakti ne apne bete ko kaha ghar aate hi ki
"Beta, main shamshaan se aaya hoon, main seedha nahaane jaa raha hoon, mera toliya tayaar rakho"
Kabhi bhi koi vyakti shamshaan se aata hai, woh seedha snaan karne kyun jaata hai?
Aaiye jaante hain is video mein

Namaste doston, mera naam hai Rishi Nanda
Hota kya hai, jab hum shamshaan jaate hain, wahan pe kai saari dead bodies hoti hain
Aur un kai saari dead bodies se kai saare germs release hote hain
Jab wahan pe hum hote hain toh kai saari negativity bhi humare andar aa jaati hai
Jab hum wahan par itna samay bitaate hain
Toh woh jo germs hain woh humare kapdon ko, humare badan pe jaake lag jaate hain
Aur woh invisible hote hain, humein to dikhte hi nahi hain
Aur agar hum waise hi jaake logon se milen, baatein karein, gale milen
Toh germs jo hain, woh doosre vyakti pe bhi transfer ho sakte hain
Ab kai log yeh bhi keh sakte hain, "Aare toh theek hai na, aap kapde badal lo
Haath-mooh dho lo, khatam ho gayi baat"
Avashya, aap yeh bhi keh sakte ho
Parantu snaan karna kyun avashyak hai, aur woh bhi thande paani se, hum isko jaante hain

Ek toh jab aap snaan karte ho, un kapdon ko aap dhone mein daal dete ho
Toh jitne bhi germs aapki body mein hote hain
Woh ek toh saaf ho gaye hain, clean ho gaye hain
Doosra, jab hi koi vyakti shamshaan se aata hai
Use invariably negative thoughts gher lete hain
Kai saare logon ko phir prashna aata hai jeevan par
Ki kya jeevan hai? Kisi ko kho diya hai
Phir koi yeh bhi sochta hai ki "Mere is jeevan ka kya moolya hai?"
Woh apne jeevan pe hi prashn laga deta hain

Toh isliye jab aap snaan karte ho, thande paani se nahate ho
Toh aapka stress level thoda kam hota hai
Aapki negative vibes bhi kam hoti hain
Aur aapko thoda fresh feel hota hai
Toh isliye kaha jaata hai ki jab aap shamshaan se aate ho
Sabse pehle snaan kar lete hain thande paani se
Germs ko bhi aap apne se door kijiye, negative thoughts ko door kijiye
Stress level thoda kam kijiye, thoda fresh feel kijiye
Aur baaki pariwar ke logon se jaake aap baithiye, unse baatein kijiye
Unhe apna prem dijiye aur unse prem praapt kijiye



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link