Parizaad

Kaise batau tumhe andar se nahi mai
Bahar se tumko jo dikhta hu shakhs
Socha tha lehjo se samjhoge
Aadhe gye ruksat aadhe bache dehshat parast

Deware ye khaali par likhne ko jagah bachi nahi mere jeene ka sabab
Aaj phir maine dil likh ke bheja
Phir tumhne alfaaz likh ke bhej diye meri taraf

Ek rooh jo rubaru nahi hai mujhse
Ek mai jo padh chuka uska har haraf
Ek lafz jo mujhse ab bola nahi jaata
Ek geet jo likh rha hu banke sharaf
Ek ashq padne ki taleem nhi meri
Ek samandar bechne nikla hu mai iss baras
Ek haath jo utha tha kabhi iss sar pe
Ek sar pe haath jiske liye gaya mai taras

Likhne baitha din me taaki raat se na milu
Kaise hosakta mulaqat se na milu
Yeh saaya andhere me bhi mere saath rehta
Aisa kya gunah har ek baat me na milu
Aaj phir mai bikhar rha mere saamne
Aur tum kehte ho dil e haal se na milu
Yaha to har insaan ka apna ek dozakh hai
To Qayamat ke sawaal se kya milu
Bauhat haar chuka hu zindagi me
Ab isi me jeet ki malal se na milu
Ek taraf tanhai me khuda dhoond rha
Aur doosri taraf yeh ki tanhai se na milu
2 bje dimaag me awaaz se na milu
Kaise hosakta apni azaan se na milu
Koshish hi nhi ki tumhne jo samjhne ki
Ab us koshish ke anjaam se kya milu

Raunake dikhti hai kyu dusro ki aakhon me
Meri nazar kya itni kamzor hai
Mohabbat baya krdu to bhi dhoondni padegi
Sabr se kaam lena andar bauhat shor hai
Kaafi kuch dil me zaahir nhi kar paata
Jo zaahir hojaye to kis baat ka afsos hai
Mai kal bhi aziyate likhta rahunga
Tum kal bhi kahoge ye to har roz hai

Jis Allah se meri kabhi nahi bani
Bula rhe mujhe mai jau ki na
Namaazi to mai bhi tha ek zamane me
Uss namaz ke sawab ginau ki na
Kos liya ho to batadiye mujhko
Uss neeche padi laash ko jagau ki na
Koi nhi hai mere siwa uska yha
Aap kehdo to jatau bhi na
Aaj phir koi apne ghar me fanaa hojayega
Uski maut ka shok manau ki na
Ek khoobsurat duniya ko ujaadne chala tha
Begairat ki daastaan sunau ki na
Khwahishe le dubi bete ko
Uske Maa Baap ko asli wajah batau ki na
Sab kuch Khuda ki marzi se hota hai
Ab unko ye hausla dilau ki na

Kya sahi kya galat kya gunah kya amal
Kya samhale hisaab hmse khud hum nhi samhalte
Kya zameer kya sharaab kya tha kal kya hai aaj
Wohi subah wohi raat wohi raat wohi raat
Baat hui thi umeed dene ki
Umeed hi cheen li maine krke ye baat
Kal bure se bura waqt bhi agar aata hai
Hmesha yaad rakhna tum ho Parizaad



Credits
Writer(s): Shuja Hasan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link