Justice For Ankita Bhandari

Lash ban chuki wo ab kuch kehne se kya hoga
Pr chup rehne se behtar to ab kuch kehna hoga
Na mili saza to ek or katil paida hoga or
Katilo ke beech hi ma beheno ko rehna hoga
Sahoge zulm jo rahoge chup
Karoge feel jab tere saath m hoga kuch
Tere bagal m hora rape or tu baitha chup
Tu baitha soche ki sarkaar to karti ni kuch
Nhi karri sakrar to fir tu to kuch karna
Pakad sale ka gala or kaatke feink ja
Wait mat karo kanun ka tum khud de do saza
Insaniyat se uper nhi sala koi court yaha
Yogi sarkaar bhi kahe yahi to ab dar kahe ka
Oh ye uttarakhand hai yaha to sarkaar ko farak nhi padta
Sarkaar dekh rahi hai match
Khabar ni duniya ka
Or yaha itne din beet chuke hein mare hue ankita
Ye haal yahi ka nhi ye haal duniya ka
Har jagha bohot tezi se badh raha hai gunha
Na jane kitne gunehgaar ghum rahe yaha
Or na jane abhi kitni or marengi ankita
Hum ni badlenge duniya to koi ni badlega
Hum badalne lage duniya to har koi badlega
Gandhi chale the akele
Tab judi janta
Chalte hi na gandhi to fir kaise judti janta
Jiska jaisa tareeka wese awaaz uthana
Sarkaar nhi samaj pe sawal uthana
Apno ke saath m nhi dekhna chahte jaisa saluk
Oro ke saath m bhi wesa mat dena
Ab dev bhoomi bhi danawo se
Bharne lagi hai
Ankita ki chita ke saath
Jalne lagi hai
Nhi rahi ab wo baat
Iss mitti m janab
Ab iss mitti se bhi
Lasho ki booh aane lagi hai
Hn
Yehi insaaniyat ka ant hai meri jaan
Ab na jaane kitna waqt lagega milne m insaaf
Ya fir mile hi na apradhi ka neta hai baap
Wese bhi kuch din baat sab bhool jayenge ye baat
Ki kon ankita, bhs khatam saari baat
Gunhegaar fir karega yaha ek or gunha
Sab aayenge online fir status lagega
Do din baad khatam baat koi ni puchega
Pr gharwalo ka kya jinka ujad chuka sansaar
Ab beti ko job nhi karne dega waha koi maa
Khuddar ankita karna chahti thi kuch bada
Bojh nhi ghar ka banna chahti thi sahara
Saha kya hoga
Hume andaza nhi hai zara sa
Suna tha
Badi asar hai maa ki duwa ka
Fir hua kya
Maa ki dua kyu rang lai na
Hewaan ke jaal se kyu wo fir bach pai na

Mari sirf wo nhi mari hein kai ummedein
Ki safe hein ladkiya dev bhoomi mei
Mari sirf wo nhi mari hein kai ummedein
Ki safe hein ladkiya dev bhoomi mei

Marne se pehele kash soch leta zara sa
Tere saath hoga ye to tujhe kaisa lagega
Marne se pehele uska chehera to yaad hoga
Bacha le mujhe iss umeed m tujhe dekha hoga
Uska wo dard ni baya kar sakta sabdo se
Dard baya karne ki takat ni hoti shabdo mei
Hum sab pariwar hein ye najane kab samjhoge
Iski beti uski beti sabki beti khodoge
Kass
Waqt pe karti police chhan been
To shayad bach jati uski jaan bhi
Katputli ho saalo tum tumhara baska kuch nhi
Uper se ungli na kare to tum sale hilte nhi
Lanat aise prasasan pe
Lanat hai aise sasan pe
Public m lambe bhasan de
Or is waqt muh pe tale hein
Iss waqt inki band aankhein hein
Bhs riswat khana chahte hein
6 din baad aaya hosh police ko
Chal aab dhoondhne jate hein
Ab bhas bache tamashe hein
Mujrim ko ye bacha re hein
Jo bacha re use
Wahi uske agle niwale hein

I'm out
Rest In Peace



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link