Mere Ghar Ram Aaye Hain

Meri chaukhat pe chal ke aaj chaaron dham aaye hain
Bajaao dhol swagat mein, mere ghar Ram aaye hain

Katha Shabri ki jaise jud gayi meri kahani se
Na roko aaj, dhone do charan aankhon ke paani se

Bahut khush hain mere aansu ki prabhu ke kaam aaye hain
Bajaao dhol swagat mein, mere ghar Ram aaye hain

Tumko paa ke kya paaya hai
Srishti ke kan-kan se poochho
Tumko khone ka dukh kya hai
Kaushalya ke mann se poochho

Dvar mere ye abhaage, aaj inke bhaag jaage
Badi lambi intezari hui
Raghuvar, tumhari tab aayi hai sawaari

Sandese aaj khushiyon ke humare naam aaye hain
Bajaao dhol swagat mein, mere ghar Ram aaye hain

Darshan paa ke, hey avtaari
Dhanya hue hain nain, pujaari
Jeevan-naiyya tumne taari
Mangal bhawan, amangal haari
(Mangal bhawan, amangal haari)

Nirdhan ka tum dhan ho, Raghav
Tum hi Ramayan ho, Raghav
Sab dukh harna, Awadh Bihari
Mangal bhawan, amangal haari
(Mangal bhawan, amangal haari)
(Mangal bhawan, amangal haari)

Charan ki dhool le loon main, mere bhagwan aaye hain
Bajaao dhol swagat mein, mere ghar Ram aaye hain
Meri chaukhat pe chal ke aaj chaaron dham aaye hain
Bajaao dhol swagat mein, mere ghar Ram aaye hain



Credits
Writer(s): Manoj Muntashir Shukla, Srishty Pranov Kumar Adityadev
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link