Sateek

Duniya jaha se matlb hai khatam
Meri khudki ladayi aur khudke zakham
Pe marhum lagane wala nahi chaiye
Band kamre me baithke likhta nazam

Ye kalam, sanam ki tarha nahi hai chor
Dhoka deke ye to dhund leti hai na ek aur
Mujhe mauke pe chauka, khoke pe khoka
Har jagha chaiye sunny jordan ka shor

Kis daur, se guzra mai kya btaun
Likhna mai chaun par likh bhi na paun
Mujhe bandi ne chorda phir attempt to murder
Befizool ki ye baate kis kis ko sunaun

Mai Jatun, kisko zamana bole jaye dheet
Gaane na nikale to samjho na mujhe weak
Fame ka na bhooka mujhe mil hi jayega
Anjam hai kadak mera kaam hai sateek

Takleef, honi laazmi ye baate kaagzi
Kaali siyahi se safed panno pe utari
Guzari saari raat, maine ki hai mehnat
Likh likh ke mai geet bhai bana hun likhari

Mai shikari, to beat ka shikar karu
Lafzon se vaar karu zuban hatiyar meri
Pyar vyar moh maya se pare hoke dekha maine
Sabko pasand aari haar meri haannnn...

Gardish me tufaan lana hai
Jo maksad hai vo pana hai
Girne uthne ka dar nahi mujhko
Taana jo nishana hai

Kudrat ka ye fasana hai
Jo dharti pe vo jana hai
Kis baat ka tum guman ho karte
Sab yahan pe reh jana hai

Masle hal honge karne se
Haathon pe haat na rakhne se
Bebuniyadi baaton ko chord
Baitha kyu hai dharne pe

Kamzor jigar tera tagda kar
Shabdo se apne jhagda kar
Phir hausla marte dum tak hai
Jitna tu chaye bhangda kar

Bhang ragda kar 2 kash lele
Khudko tu apne bas me le
Apne baare me socha kar
Tere sang wale tujhe das na le

Badhne wala mera kaafila
Pairo me nike na fila
Mere naam ke aage jordan
Kuch aisa hi hai silsila

Sapne hai mere kaabu me
Bin badal jo barsat hun mai
Beato ka katal kar deta aise
Jaise koi jallad hun mai

Chilla dun mai bajwadu mai
Shehro me apne saare gaane
Door door tak dikhne nahi hai
Jo de rahe the mujhko taane

Saat suro ki mala
Ab hum japne lage hai
Agni ho ya jwala
Istarha tapne lage hai

Manzoor khuda ko kya hai
Tujhko to sabar nahi hai
Andar khoobi hai kya kya
Is baat ki khabar nahi hai

Khudse ladja aage badhja
Ab Manzil door nahi hai
Tera hi daur machega shor
Vo manzil door nahi hai

Karne lage jo hum thoda pyar
Badle me wafa nahi milti
Wafa ki jo karte hai tohin
Uski saza hai kya batao

Sapno ko sach karna hai ab
Dikhta hai mera rab khwabo me
Chal pade manzil ki taraf
Mere naam ki khushboo hai fizao me

Haan chalke phirke girke uthke
Chupke chupke likhta chupke
Haan Nalle dalle hai nithalle
Balle balle karke tu nikalle kya

Har masle pe asle hai na hai koi khauf
Kitno ko mara yaha aur gala diya ghot
Bina chaabi ke taale yaha pe khol diye jate hai
Khush hue baithe tum laga diya lock

Mujhko Shaunk aslo ka nahi hai
Maslo ko shabdo se hal kar deta
Zyada baatcheet karte nahi hai
Gar karte, to bhuss bhar deta

Kyonki, gharbar aisi galiyon me
Jaha vaardat aam baat ho gayi hai

Kabhi khoon behta dekh kabhi chale 315
Shaitano wali breed yaha ijad ho rahi hai
Koi nashe me hai leen sara scene pechida
Acchi khasi ye awam barbaad ho rahi hai

Khoon khrabe ki hasrat nahi hai
Apne se hi fursat nahi hai
Rab ki rehmat barse jaari
Neech humari harkat nahi hai

Facts, News pe hai views
Kare jare confuse but I don't wanna lose

Hausla tu rakh tujhko hak is baat ka
Dar tu rab se, Na kisi se, Kaam me tu maat kha
Zindagi jo tappe khaati khelna tu jaanle
Kaise jina tujhko ab dhakelna tu jaanle

Saans le tu zyada faasle to hote jayenge
Apne honge door, Door wale pass ayenge
Kamyabi ki lagan me cheekhte hi jayega
Bhagna chord ladna seekh seekhte hi jayega

Basline me automation
Bina baat ke allegation
Har ghar me charcha honi hai
Mera naam ka celebration

Sapne mujhpe haawi horaye
Raaton me bhi hum nahi soraye
100 se zyada kalam ghisi hai
Bhar daale hai kagaz kore

Saat suro ki mala
Ab hum japne lage hai
Agni ho ya jwala
Istarha tapne lage hai

Manzoor khuda ko kya hai
Tujhko to sabar nahi hai
Andar khoobi hai kya kya
Is baat ki khabar nahi hai

Khudse ladja aage badhja
Ab Manzil door nahi hai
Tera hi daur machega shor
Vo manzil door nahi hai

Khudse ladja aage badhja
Ab Manzil door nahi hai
Tera hi daur machega shor
Vo manzil door nahi hai



Credits
Writer(s): Sunny Jordan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link