Kya Hua Hai?

yeh aankhein roz jisko dhoondhti hain
woh kahan hai?
yeh aankhein der raat jaagti hain
kya hua hai?
yeh aankhein mere saare betuke
sawaal jaanein
yeh mere betuke sawaalon ke
jawaab jaanein

woh mujhse poochhte hain
kya hua hai? kya hua hai?
main unko kya bataun
kya hua hai? kya hua hai?
woh mujhse poochhte hain
kya hua hai? kya hua hai?
main unko kya bataun
kya hua hai? kya hua hai?

yeh aankhein band main karoon
toh yeh khayal aaye
woh mere saamne kabhi toh
bin bulaaye aaye
hain uski aankhein jaise
aasmaan ke sitaare
milein, sitaaron ki nazar meri
nazar utaare

woh phir se poochhte hain
kya hua hai? kya hua hai?
kya unko yeh bata doon
kya hua hai? kya hua hai?
woh phir se poochhte hain
kya hua hai? kya hua hai?
kya unko yeh bata doon
kya hua hai? kya hua hai?

aankhon ke jharokhe se
chaahe jaan ke ya dhokhe se
woh mujhse poochhte hain
ki haal kya hai mera

yeh aankhein sau hazaari bheed mein
use talaashein
yeh aankhein aaina bhi dekh lein toh
muskura dein
yeh aankhein saaf saaf likh chuki hain
"mohabbat"
woh aankhein meech kar bhi
ek baar padh na paaye

woh phir se poochhte hain
kya hua hai? kya hua hai?
main unse poochhta hoon
kya hua hai? kya hua hai?
woh zidd pe aa gaye hain
kya hua hai? kya hua hai?
main muskura raha hoon
keh raha hoon
"kuchh nahin"



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link