Pata Nahi

You know what it is!

Main kya kahoon, kya nahi, Pata nahi
Ye zindagi hai maut si par saza nahi
Jo khud se poochta hoon
Aage ka kya socha hai
Wo mujhko dekhe, haske keh de
Ki pata nahi
Ye jo sitam hai khuda ne mujhpe dha diye
Wo kehte mujhko sise nahi to kya jiye
Arey, agar malum hota mujhe raasta
To hote maine na jane kitne kile fateh kiye
Main peeta nahi fir bhi zindagi nashe si hai
Ye rishte aise hain, ya sab farebi hai
Main poochta nahi, bas maan leta hoon
Ki jitni galti bhi hai, bas meri hi hai
Kisi ko khush rakho, koi rooth jata hai
Kisi ka sath do, to koi chhoot jata hai
Kisi ke aansunon pe muskurata hai koi
Yahan jo hai khota, wo kuch na pata hai
Hasata hai
Jo aas paas hai
Manata hai, jo usse naraz hai
Sikhata hai, jo zindagi ne sikhaya
Par kise samajh aaya, ye pata nahi

Ye log ab mil rahe kyun gale
Kya ye wo nahi jo aapas mein the jale
Jinki lehre bhi thi ulti behti
Wo aaj kaise ek naw mein baith ke chale
Na koi gham hai na koi gila bhi hai
Ae khuda tune dikhaya ye sila bhi hai
Keechad mein fir se kamal khila bhi hai
Kisi ko saccha pyar apna mila bhi hai
Par meri aankhein, achanak se khul gayi
Dekhi thi jo duniya, aakhir wo kahan gayi
Abhi jo sath the, wo alag ho gaye
Shayad ye tha sapna, jo sach hua nahi
Main kya kahoon, kya nahi, Pata nahi
Ye zindagi hai maut si par saza nahi
Jo khud se poochta hoon
Aage ka kya socha hai
Wo mujhko dekhe, haske keh de
Ki pata nahi



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link