Teray Bina (feat. UMAIR)

Tujhe
Dhoond raha
Har jaga
Ye dil
Tarap raha
Teray bina

Teri muskurahat rehti hai hamesha
Jaise meray mann ki aahat iska paisha
Kaise kahoon
Sirf chahye ik sandesa
Takay gum na hoon
Ye mera andesha
Mein akela
Kahan dhoondoon apna rasta
Jab ankhon samnay sirf tera hi chehra
Jo abhi bhi satata
Sirf maazi hi dikhata
Koi to batade isko kaise bhulana
Jhutla doon kya jo sab tha hamara
Ya jala doon kya ye samaaj saara
Ya maar doon kya ye dil jo awaara
Par iskay bina kis ka guzara
Iske siwa kon deta hai sahara
Jab jahaan hi baymaan be-emaan
Sab matlabi insaan
Dost k roop mein saanp
Ye zindagi hai sunsaan
Meray yaar
Aur ye safar hai dushvaar
Na hona bezaar
Ham lachaar bhataktay kalakaar
Jinko pyaar mein sirf mili hai haar
Par uss paar uske saath
Shayad iss baar haan shayad iss baar
Well find a way out of the dark

Tujhe
Dhoond raha
Har jaga
Ye dil
Tarap raha
Teray bina

Kabse dil mein hai fitoor
Kyunke tu rehti hai door
Aur ham bhi to majboor
Zindagi ko roz karein ham ji huzoor
Phir banein mazdoor
Bharein sab k pait par na milay suroor
Kaisay ho ye sab manzoor
But i know we can endure
Saansein rahi to ham milenge zaroor
Isme nahi tera koi bhi qusoor
Tu bhi to jorr rahi apnay wounds
Baby i know youve seen some abuse
Been lost on roads jahan khiltay nahi phool
Thinkin that youre doomed par
Waqt baki hai bharpoor
It wont end so soon
Jab tak baki ye junoon
Aur ragon mein hai khoon
Tujhe dhoondne mein chalta rahoon
Mein chalta rahoon
Haan chalta rahoon



Credits
Writer(s): Asad Jafri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link