Gustakhiyaan

Akela hua tere jaane pe
Jo khushi Mili thi tujhe paane pe
Khud tu bayaan na kar sake
Tere jhooth ka rang bhi safed

Kabhi toh dil se lagao firse
Kabhi jeena sikhao firse
Tumhe apna bana lu firse
Tumhe kho ke yuh tadpe

Gustakhiyaan kari sari maaf
Fir bhi aakhir me tune jaake chorha mera saath
Tune maafi na maangi par kiya maaf
Meri aakhon me hai paani tere seene me hai aag

Kya mila? Batake mere har jagah
Kyu hua? Savera mera andhera bhara
Tu hua paraya kabhi mera jo tha

Kuch toh tu chupa rahi
Teri aakhon ki nahi mujhe bata rahi
Beeta samay tha saath nahi
Aur jo aane wala hoga tere saath nahi

Tumse milali nazar
Aakhon me dikhe nazare
Aakhon me chupa tha dard
Fir bhi na kuch bhi bataye
Mujhe nahi jaana tha ghar
Kya yahi tak ka safar?
Dil deke baithe hai hum deewane
Tum pe na koi asar

Mere dil pe tu dil rakh
Tuta dil mera khaaya silvat
Gham saare bhool jaun
Jab tu khilkar muskuraye mere sar par
Mere dil par ki chot
Mere saamne hai tu
Tujhe chu na saku
Ye kaisi saza?

Gustakhiyaan kari sari maaf
Fir bhi aakhir me tune jaake chorha mera saath
Tune maafi na maangi par kiya maaf
Meri aakhon me hai paani tere seene me hai aag



Credits
Writer(s): Devansh Barot
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link