Khawbon Mein

Aye khawbon mein mere
Tu raat bhar aake mujhe sharmaaye
Chehre hazaaron hai lekin tujhsa nazar na aaye
Mann pyaasa teri chaahat ka
Hai mann pyaasa
Manga tujhe duao mein
Khushboo hai teri hawaao mein
Nikle tu ghar se jo gao mein
Milke naache malang mann hoke

Milke tujhe aisa lage, ke tu zameen pe hoor hai
Tum mil gaye, le dil gaye nazre milake doorse
Duniya se kya hai vaasta, bass tu mujhe manzoor hai
Tu hamnawa hai mera jahan, ye baat ab mahshoor hai
Jeena sakenge ab hum bin tere ek din sun le
Paani ko chukar ke kahoon, tujhpe ye dil mar mita
Dekha tujhe to hum kasam se duniya bhula baithe
Bina ejaazat teri mohobbat dil mein basa baithe
O meri heeriye, dekhun tujhe to chain dil ko aaye
Tera nasha sabse juda, chadhke utar na paaye

Nazdeek tu, nazdeek mein
Sharm-o-haya mit jaane de
Anmol hai chaahat ke pal, ye pal kahin na jaane de
Dewaar jo hai darmiyaan usko abhi gir jaane de
Tere hai hum karde kadam, kismat meri fir jaane de
Jeena sakenge ab hum bin tere ek din sun le
Chukar ke lab kehte hai ab, mitne de har faasle
Manga nahi phir kuch bhi khuda se, tujhko jo paa baithe
Tum jo mile to dil ki alag se duniya bana baithe
Aye mann pyaasa teri chaahat ka
Aye mann pyaasa



Credits
Writer(s): Ajaneesh Loknath B, Arafat Mohamood
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link