Ek Arsa Hua

Ek arsa hua mohabbat ki ghoont peeye
Taras ke reh gaya musafir safar-e-zindagi mein
Ek arsa hua mohabbat ki ghoont peeye

Us chehre ki jhalak mein
Jab us aawaaz ko sunkar
Ek masumiyat bhari muskaan dikhti thi
Us chehre ki jhalak mein
Jab us aawaaz ko sunkar
Ek masumiyat bhari muskaan dikhti thi
Tabhi na jaane kaise
Dil mein ek gud-gudi si hoti thi

Khair, thi toh zindagi hi
Jisko milne se zyada
Bichadne ke liye jaana jaata hai

Wo haath bhi
Jisne sambhal ke pakda tha
Meri chahat ki dor ko
Wo haath bhi jisne sambhal ke pakda tha
Meri chahat ki dor ko
Na jaane kab, kyun aur kahan
Gum ho gaya

Ek arsa hua mohabbat ki ghoont peeye

Bade lambe waqt ke guzarne par
Bade lambe waqt ke guzarne par meri
Sukhi hui zindagi mein ek
Haseen barsaat hui
Bade lambe waqt ke guzarne par

Jisme neeli aankhon wali
Haan wahi, jiske baalon ki khushbu ek
Itra ki tarah
Meri zindagi mehka gayee

Bas fir kya tha
Sambhalne ki koshish ki thi maine
Lambi koshish ki
Par jis chehre ki tarash hi itni khubsurat ho
Us Mumtaz ke nazdeek kaun rehna pasand nahi karega

Ek arsa hua mohabbat ki ghoont peeye

Bina unki nazaron mein gire unki
Nazron mein uthne ki koshish karne laga
Bina
Unki nazaron mein gire unki
Nazron mein uthne ki koshish karne laga
Yaaron ek baar fir se main pyaar mein padne laga
Fir se main pyaar mein padne laga

Ek chahat thi dil mein
Ki khushiyan unko saari dunga
Ek chahat thi dil mein ki
Khushiyan unko saari dunga
Jo khud ki khushi se zyada
Dusron ko khush karna pasand karta tha
Ek insaan, aisa bhi khuda ne banaya tha

Haal-e-bayan filhal itna hi kar sakta hun
Ek nayee soch k saath Zindagi mein aage badh sakta hun
Dua kar ae dost ki wo meri Zindagi ki har pyaas bujha de
Kyunki
Ek arsa hua mohabbat ki ghoont peeye



Credits
Writer(s): Ashwin Alok
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link