Kitaab Likh Raha Hun

Main apni ek kitaab likh raha hun
Hamari kuch yaadein likh raha hun
Jab baithti thi tum kisi roz mere bagal mein
Tumhari kahi hui baatein likh raha hun
Haan, main apni ek kitaab likh raha hun

Jab meri baaton ko tum
Wo zulfon mein ungaliyan fer ke suna karti thi
Jab meri baaton ko tum wo
Zulfon mein ungaliyan fer ke suna karti thi
Unhi lamhon ki khamoshiyan likh raha hun
Main apni ek kitaab likh raha hun

Tumhari us naraaz tirchi nazaron se
Jab bhi mera jee ghabrata tha
Tumhari us naraaz tirchi nazaron se
Jab bhi mera jee ghabrata tha
Kahe hue tumhare un alfaazon ko samet raha hun
Haan, main apni ek kitaab likh raha hun

Un ungaliyon ki lambai jab main
Apni ungaliyon se naapa karta tha
Un ungaliyon ki lambai jab
Main apni ungaliyon se naapa karta tha
Unhi haathon ki maasumiyat bayaan kar raha hun
Main apni ek kitaab likh raha hun

Lafzon ka hunar, tumhe khoob pata tha
Labon pe tishnagi, dil mein armaanon ka silsila tha
Unhi yaadon ke qaafilon ko yaadgar bana raha hun
Haan, main apni ek kitaab likh raha hun
Hamari kuch yaadein likh raha hun
Jab tum baithti thi kisi roz mere bagal mein
Tumhari kahi un tamaam baaton ko likh raha hun
Main apni ek kitaab likh raha hun



Credits
Writer(s): Ashwin Alok
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link