Saath Naa

Baat samay ki tu saath mere aaj tha
Baat samay ki tu saath mere aaj na
Baat samay ki tu saath to ehsaas tha
Baat samay ki tu saath na to saans na

Baat samay ki badla sama haan badla sab
Saath hasse the juda firre hai khafa ab
Kaash hota jo pta na karta khata tab
Par hota kya pta khuda karta kartab
Shayad karam tere mere kuch purane the
Bache karz jo iss janam chukane the
Dosh tera na mera hum bus deewane the
Do pal ke liye mile aur ho gye anjaane the
Hain raste dono ke alag alag
Nazron mein kiski sahi galat
Kin kaydo se kiski parakh
Par sawaal kya padega usse farak

Baat samay ki tu saath mere aaj tha
Baat samay ki tu saath mere aaj na
Baat samay ki tu saath to ehsaas tha
Baat samay ki tu saath na to saans na

Sikke ke pehlu do, kahaniyon ke kitne roop
Jitni nazrein, nazariye bane hai khoob
Sabki palkon pe sab na jache bharpoor
Niyat aur karm satya baaki sab hai fizool
Kissey apne mein bhi kirdaar kaafi the
Galtiyan kiski aur kisko maafi dein
Na happy ending adhoori ye kahani hai
Antt chahe jaisa bhi hum bus ye kaafi hai
Saath to bus yaadein bachi hain
Btane ko baatein bachi hain
Zikr hai abhi bhi tumara
Fikar bhale tujhko nahi hai
Main karta hu ab bhi duaayein
Hai kaaran jo hichkiya aayein
Jo khaas rahe hain humare
Na unko hum aise bhulaayein

Baat samay ki tu saath mere aaj tha
Baat samay ki tu saath mere aaj na
Baat samay ki tu saath to ehsaas tha
Baat samay ki tu saath na to saans na



Credits
Writer(s): Vivek Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link