Umeed

Likhun geet roz, lekin kiske liye?
Khara dheet bohat, lekin kiske liye?
Bethun Likhun Aag, jalain kiske diye?
Hai Umeed bohat, lekin kiske liye?

Ab Likhne ko bethun to
Qalam b darray k
Shayar na bolde shair ghalat
Lekin shayar tou likhta hai sirf dard
Yeh uska farz
Hoti hai Aamad, woh karay Arz
Phir wo kaisay ghalat aur yeh kaisa darr
Ager maghaz mein ajaye darr
To shayar bhi karay shair kaise arz?

Lagay waqt kam, sahay dhokay
Lagay ab darz kam
Yeh duniya k khel karain sir dard
Har dam waqt hee banay ab marham
Ab chaal meri slow paced madham
Tera bhai karay baat ab bohat kam
Mere 2 kadam teri dorr khatam
Teray 2 chehry aur 1 badan
Umeedon pe qaim hai duniya
Umeedon ko chor chuky ab
Mehnat pay raazi, ishi gali gari ko morr chuky ab
Sochun na alag me tor tareeqay
Warna marne ko dandi hain 100 tareeqay
Kya samjhy ab itny b kamzor nahin hain
Han maana abhi tak shor nahi hai
Apna daur nahi hai par
Annay wala, Annay wala
Ruk apna daur abhi annay wala
Annay wala, Annay wala
Meri jaan shor abhi annay wala
Rap game ka thor abhi annay wala
Phatay C4 abhi annay wala
Is bag me crore abhi annay wala
Teray map pe Lahore abhi annay wala
Loug rokne ko aye kon rok paya?
Mere verses, flow jigar bohat fire
Mental state, meri bohat higher
Khamoshi aur ho bonfire
Mujhy duniya se chahiye nai aur kuch
Duniya denay ko deti hai aur dukh
Main khamosh phir bhi hun bohat khush
Meri soul khush
Meray dost khush
Bass!! Bass!!
Zyada nai mangu main duniya se
Yeh taur tareeqay kya dunia k?
Nahi rakh paya bhai tera bunyaadain
Main bhula nai, mjhy saray zulm yaad hain
Loug denay ko dety hain daat yeh
Main bethun aur sochun yeh raat main
K kya kuch hai mere hath main
Aur kon bhai khara bhai mere sath main?
Aur konsi soch hai mere hath main?
Aur kiski kamp rahi hain taangen?
Yeh Gang banain Gang banain naam k
Mera Gang khara ishaaray ki taak main
Kesay torden Tere saray dant yeh
Kab maut ajaye mjhy pata nahin
Chahun sun ne walay
Yaad rakhain baad main



Credits
Writer(s): Sanan Khalid
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link