Shaam

Rang badalta aasman
Lafz palat ta main khara
Hosh main, Gumshuda

Din abhi dhalta hua
Keh gaya k shaam say
Aaj mil lo zara

Manay yeh na manay
Dil ko kya batayein
Khud se bhi haaray
Tumhein kya bulayein
Shaam
Janay anjanay
Main guzar gayi kya
In bechainion ka hi toh
Intezaar tha

Rang pakarta aasman
Badalon say hai bhara
Aansuon say keh raha

Waqt say kyun lar raha
Jo na mila ussay bhul jaa
Do dilon say agay aa zara

Manay yeh na manay
Dil ko kya batayein
Maangay thay jo waaday
Hum se ho na paaye
Shaam
Janay anjanay
Main guzar gayi kya
In bechainion main hi
Din guzar gaya

Shaam
Janay anjanay
Main guzar gayi kya
In bechainion ka hi toh
Intezaar tha



Credits
Writer(s): Syed Hamza
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link