Piyar Kiya Tha

Piyaar Kiya tha, Piyaar kiya tha
Maine tou sirf izhaar kiya tha

Tere Bin mai kese jeeya tha
Tum hi tou thay jisse dil diya tha

Aag lagi hai isss seenay mai
Thori mushkil hourae hai ab jeenay mai
Koi aaker lagao mujhe marhame
Kahin hou na jaon yun barham mai
Kis mou se sunaon yeh ulfaten
Mai tou ab bhi dooba teri zulfon mai
Aik jama dou jama teen jama chaar
Dekhou kese gin raha ab dhadkanen
Tum kehti thi na ke dunia sae nae
Haan maanta hun tum sae thi
Ae rab tera hi asra hai
Mera koi ab mafaad na hai
Zindigi bas sukoon se guzre
Yehi meri bas aik dua hai
Jane dia maine sab
Kisko likhun ab yeh khat
Tere baad kisko sunaon
Jo guzar gae mujhpe gham

Ishq kiya tha ishq kiya tha
Maine tou tumhare liye sab hi kiya tha

Raat ko maine yun khawab dekha tha
Usme kiu tumne mujhe tanha chordia tha

Dil diya tha jaan nisaar kiya tha
Ghamon se khud kou maine dou chaar kiya tha

Tabeer batao mere toot tay khuwabo ki
Inse jagao kahin mar na jaon ke

Raqs nae hai ab harz nae hai
Mujhe tumse ab koi gharz nae hai

Piyaar Kiya tha, Piyaar kiya tha
Maine tou sirf izhaar kiya tha

Piyaar ke badlay mai kia diya tha
Maine tou tumhe sab hi diya tha

Kese maanlu tum bhi udaas hou
Tum tou khair ab kisi aur ke saath hou
Dunia hai yeh kitni jhooti
Mujhse kiu har waqt hai roothi
Mai tou yahan hun aik musaafir
Mera tou din guzar jayega
Jo bhi houta achay ke liye houta
Mera bhi dil lag jayega
Kehdou ke tumhe neend nae ati
Mera bhi kaam chaal jayega

Ab tum mere paasbaan nae hou
Mai bhi tumhara sahebaan nae hun

Ab dekhun tumhe kese kisi ghar ki bahon mai
Mai kese jaagun in chandani rato mai

Jahan ko bulao piyar kiya tha
Marhame lagao be inteha kiya tha

Ab aanch na aye tere noor se gaalon pe
Mangu mai duayen sari raat guzaron mai

Piyaar kia tha Piyaar kia tha
Maine tou sirf izhaar kia tha



Credits
Writer(s): Arez Hassan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link