Ajnabee

Main poochu kya hai koi dusra?
Jiske baare mein humein pata nahi
Wo kahe, "karlo hum pe bharosa thoda
Hum bhi toh hai pareshan"
Teri yaad mein hum seh gaye
Ye faasle akele
Phir bhi tujhe aisa lage
Ki bas mujhme hi toh kami hai

Shaam naa dhale pehle tere
Bin baatein mere
Bin saath mere
Raat naa kate pehle tere
Bin baahein mere
Ab main ek ajnabee

Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?
Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?

Kisse the humare jo
Main unke panne faad doon
Jo bhi tha mere andar
Saare chaahatein main gaad doon
Main chahoon toh khudi ko dafna ke
Main bheekh maang loon
Par kyun karoon main aisa?
Bewaja kyun apni jaan doon, haan?

Shaam naa dhale pehle tere
Bin baatein mere
Bin saath mere
Raat naa kate pehle tere
Bin baahein mere
Ab main ek ajnabee

Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?
Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?

Ab toh aa bhi jaao naa
Aise kab tak hum rahenge bhala
Aa bhi jaao naa
Meri baat sunlo naa

Shaam naa dhale pehle tere
Bin baatein mere
Bin saath mere
Raat naa kate pehle tere
Bin baahein mere
Ab main ek ajnabee

Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?
Kyun hum kho gaye kahin?
Kyun hum ho gaye ajnabee?



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link